ACHAW u jesi akulmund nahi thi naa
Ajab din they Mohabbat k.
Ajab din they chahat k.
Kabhi jo yaad aa jaein to palkon par sitare jhilmilate hain.
Kisi kiyaad men raton ko aksar jaagna maamool tha apna.
kabhi jo neend aa jati to hum ye soch lete they.
K abhi to wo hamare waste roya nahin hoga.
Abhi soya nahin hoga.
Abhi hum b nahin rotey.
Abhi hum b nahin sotey.
To hum phir jaagtey they aur usko yaad kartey they.
Akaile baith kar weeran dil abaad kartey they.
Hamare saamne taron k jhurmat men akaila chand hota tha.
Jo us k husn k agey boht hi maand hota tha.
Falak par raks kartey an gint roshan sitaron ko,
jo hum tarteeb daite they.
To uska naam banta tha.
Hum agley roz jab miltey,
to pichli raat ki har be qali ka zikr kartey they.
Har qissa sunatey they.
Kahan, kis waqt, kaise, kis tarah dil dhadka batatey they.
Main jab usko batata tha k janan!
Aaj to main raat ko ik pal nahin soya.
To wo khamosh rehti thi.
Par uski neend men doobi do jheel c aankhen.
Achanak bol uthti theen.
Main jab usko batata tha,
k jana! raat ko roshan sitaron men tumhara naam dekha tha.
To wo kehti Tum jhoot kehtey ho.
Sitare maine dekhey they.
Aur un roshan sitaron par tumhara naam likha hai.
Ajab maasoom ladki thi.
Mujhe kehti thi k lagta hai wo apne sitare mil hi jaein ge.
Magar usko khabar kya thi.
Kinare mil nahin saktey.
Mohabbat ki kahani men,
Mohabbat karne walon k,
sitare mil nahin saktey.
sitare mil nahin saktey.....
Heer- 12-31-2007
Bazahir aam lehjay main
kaha tha main ne jab us se
"badal lo rasta apna
hamary chahny na chahny se
kuch nahi hota
ye hi sach hai ke hum do mukhtalif
raston ke rahi hai
to phir kion dil ki manain hum
shuru main manti hoon main
aziyat dil ko pohanchay gi
magar phir waqt guzry ga
sabhi zakhmon ko bhar de ga"
meray is aam se lehjy pe wo
ik pal ko chonka tha
meri ankhon main ankhain dal kar
hairat se pocha tha
"ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"
main aik dam muskuraii thi
aur ye keh payi thi
meri tum fikr rehny do
sambhal jaon gi
bhula kar sari baton ko
akeli main je lon gi"
bht hi be yaqen akhon se
us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aya
ab tark_e_taluq ko
umar beti hai
magar dil pe us ki zat ka
qaim naqsh dhundla nahi hota
mujhay mehsos hota hai
ke jaisay meray kanon main
sargoshi si karta hai
WO SAB JO KEH RAHI THEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?"
Noman- 01-03-2008
Mein ronay say darti hoon, juda honay say darti hoon
Meri ankhein batati hain ke main sonay say darti hoon
Meri ungli pakar lena, mujhay tanha nahin karna
Ye dunia ek mela hai, tumhein khonay se darti hoon
Jo hanstey ho tum kyun palkain bheeg jati hain
Tumhein maloom hai main is tarha ronay se darti hoon
Jab say khuwab dekha hai mujhay tum chor jaoo ge
darti hoon ab khuwabon se, main ab sonay say darti hoon
Seep_Main_Moty- 01-04-2008
muhabet k safar main koi rasta nahi dayta
zamee wakif nahi banti falak saya nahi dayta
khushi or dukh k mosam sab apne hote hain
kisi ko apne hisay ka koi lamha nai dayta
uthana khud hi parta hai thaka toota baden apna
k jab tak sanns chalti hai koi kahndha nahi dayta
Amber- 01-05-2008
Kisi kitaab ka wo phool sookha yaad aaya,
Baat jab bhi chali to bas tera khayal aaya.
main dekhty hoon jab kisi ko yahaan tanha baitha,
wo tera kal phir aane ka wada yaad aaya,
Dil ne jab bhi chaha ke tujhe bhool jaayen,
Wo tera kehna ke "Mujhe bhool jawo" yaad aaya.
Kisi kitaab ka wo phool sookha yaad aaya,
Baat jab bhi chali to bas tera khayal aaya......
Palkain- 01-07-2008
Nice
Heer- 01-09-2008
kooolll
Faslay aise b hoonge ye kabhe sochaa na thaa
Saamane baithaa thaa mere aur woh meraa na thaa
Woh k khushbuu kii tarah phaila thaa mere chaar soo
Main use mahasoos kar sakataa thaa chuu sakta na thaa
Raat bhar us ke hee aahat kaan mein aatii rahii
Jhaank kar dekhaa galii mein koii b aayaa na thaa
Aks to maujuud the par aks tanahaaii ke the
Aaiinaa to thaa magar us mein tera chehara na thaa
Aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
Aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa
Ye sabhii veeraniyaan us ke judaa hone se thien
Aankh dhundhlaai huii thii shahar dhundhlaya na thaa
Yaad karake aur bhii takaliif hotii thii Adeem
Bhool jaane k sivaa ab koei b chaaraa na thaa
Heer- 01-09-2008
Mai apni raton ki fursaton mai manaoon to maan jana
agar kissi din mai apnay ansu jo lay kay aoon to maan jana
Tu khsu nahin hai mairi baqa par to sirf itna jaan ja
Tairi khsushi kay liye jo sooli pay muskuraon to maan jana
Tu bud guma hain mairi wafa pay to sirf aik baar azma lay
JO HAAR JAON TO LOT JANA JO JEET JAON TO MAAN JANA
Heer- 01-11-2008
JATE JATE WOH MUJHEY ACHI NISHANI DE GEYA
UMER BHAR DOHRAOONGA AISI KHANI DE GEYA
USS SE KUCH PAA SAKOON AISI KAHAN UMEED THI
GHAM BHI WOH SHAED BARA-E-MEHARBANI DEGEYA
LEGEYA SAB HAWAEN MERE SAMANDER KI KOI
AUR MUJHKO AIK KASHTI BADBANI DE GEYA
KHAIR MAIN PEYASA RAHA PER USNE ITNA TO KIA
MERI PALKON KI QITARON KO WOH PAANI DE GEYA
JATE JATE WOH MUJHEY ACHI NISHANI DE GEYA
UMER BHAR DOHRAOONGA AISI KAHANI DE GEYA
Heer- 01-18-2008
fArZ kARo...!!!
tUm kUcH nA pAo, ApNA aAp lUtA kAR bHI!
fArZ kArO KoI mUKaR hI jAyE, sAccHi QaSam uThA KAr BhI!
Aur FaRz kARo,
yEH FaRz nAA hO,
sAcchI eIk HaQeeqAT Ho!
tErAy iSHQ kaY hAR RaAstAY pAR JaNaA aiK qAyaMaT Ho!
AuR sUnA hAI.....
yEh qAyaMaT KhooN jIGaR kA pEEtI hAI!
TuM Toh jAnA fArZ kARo gAy,
MujH pE yEh sAb BeeTi hAI!
Heer- 01-18-2008
zindagi k melay mein khuahishon k relay mein
tum say kya kahain jana is kadar jhamailay mein
waqt ki rawani hai bakht ki garani hai
sakh be zameeny hai sakht la makani hai
hijer k samander mein
takht aur takhtay ki aik hi kahani hai
tum ko jo sunani hai baat go zara c hai
baat umer bhar ki hai
umer bhat ki baatain kab do ghari mein hoti hain
derd k samander mein un ginat jazeeray hain
be shumaar moti hain
aankh k dareechay mein tum nay jo sunaya tha
baat us us diye ki hai
baat us gilay ki hai
jo lahoo ki khalwat mein chor ban k aata hai
lafz ki faseelon paer toot toot jata hai
zindagi say lambi hai baat ratt jagay ki hai
rastay mein kesay ho baat takhliye ki hai
takhliye ki baatoon main guftagu izafi hai
pyar karnay waloon ko ik nigah kafi hai
MD- 01-19-2008
Nice
saThiyA- 01-19-2008
Mai Pal pal marti rahi wo Lamha lamha jee gaya
Kitna Pyasa tha eik Ghum mujhe tordkar pee gaya
Main Pal pal marti rahi wo Lamha lamhhum mujhe todkar e
Kalam rafta rafta toot_ti ja rahi hai
Dard mila kuch Aisa jo Lafzon ko see gaya
Wo gaya mujhe chordkar par mera sab le gaya
Khayal tha usse bhoolne ka, lo abb wo bhi gaya
Bastiyan jalne ka Sabab tumse poochte hain
Par tumhe kya kaun mara aur kaun jee gaya
Uth kar Insaniyat se hath milana hai "NAAZ"
Wo Ehsas tha yahin bas Abhi gaya..Abhi gaya
Noman- 01-21-2008
kisi kamzor lamhe main
agar main tum se yeh keh doon
mujhe tum se mohabbat hai
tum is waqye ko unwaan na kar lena
haan zara nazrain jhuka lena
zara sa muskura dena
aur phir tum bhi keh dena
mujhe tum se mohabbat hai
magar is waqye ko unwan na kar lena
Seep_Main_Moty- 01-24-2008
nice collection... keep sharring ...
Le gaya sab kuch magar aik hosla rehnay diya
yani meri zindagi ka silsila rehnay diya.
hum gaye tu thay un ko mananay k liye maghar
wo khafa acha laga hum nay khafa rehnay diya.
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.