ZINDAGI k hain do JAHAN...
ek YE jahan...
ek WO jahan...
In "DO JAHAN" k darmeyan bas fasLa hai aik SANS ka...
Jo chal rahi to YE JAHAN
Jo ruk gai to WO JAHAN.. :)
Noman- 08-25-2007
Jane kya soch k lehrain sahil se takrati hain or phir se lot jati hain
samaj nahi ata k wo kinaron se bewfai karti hain ya lot k sumandr se wafa nibhate hain?
Noman- 08-25-2007
Mujhse bichar ker benaam ho jao gay
Sodagaroon k hathon nelaam ho jao gay
Mujh ko acha nai lagta tera har ik se milna
Har aik ko hasil ho gaye tu aam ho jao gay ;))
Noman- 08-25-2007
Naaz o andaaz mein kiun kr mera jeena hoga
Zeher jo daite ho to kehte ho peena hoga
Mein jo peeta hoon to kehte ho marte bhi nahi
Mein jo merta hoon to kehte ho jeena hoga :Sad:
Noman- 08-25-2007
Kitni raatein beet gayin
Kitne din beet gaye
Bus beeta nahi to
Yadon ka wo pal
Wo guzra hua kal
Biti nahi to
aankho ki nami
aur KISI KI kami :)
Noman- 08-25-2007
Koi talab bhi nahee aur sogwaar bhi hoon
Pukaarta bhi nahee, mehv-e-Intazaar bhi hoon
Najane kitnay iraadoan mai butt gaya hay wajood
Bhula dia hay usay aur beqarar bhi hoon
Noman- 08-25-2007
Mera din Chupa Kissi Raat May
Merii Raat Chuppi Kissi Zaat May
Meri Zindagi Koi Raaz HAy,
Koi Raaz hay MEri Zaat Mein
Main Jaha Kahii Bhe Bhatak Gaya
May Girtay Girtay Samnbhal GAya
Mujhay Thokroun Say Pata Chala
Koi Hath Hay Meray Hath MAy... !
Noman- 08-25-2007
Usey Kehna
Mukammal Kuch Nahi Hota
Milan bhi na mukkamal hai
Judai bhi adhori hai
Yahan ek mout pori hai!
Usey kehna
Udaasi jab ragoon main
khoon ki manind utarti hai
Bohat nuksaan kerti hai!
Usey Kehna
Bisaat-e-Ishq pe jab mout hoti hai
Dhukoon k sheher main jab raat hoti hai
Mukkamal bas KHUDA ki Zaat hoti hai.. :)
Noman- 08-25-2007
abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki
mujh per gard baqi hai
abhi woh dard baqi hai :)
Noman- 08-25-2007
kisi dardmand ke kaam aa
kisi doobte ko uchaal de
yeh nigah-e-lutf-0-karam
kisi badnaseeb pe daal de
main nahi hoon qabil-e-anjuman
mujhe anjuman se nikal de
main isi khayal se aaj tak
usey dil ki baat na keh saka
wo dard-o-gham se hai bekhabar
kaheen muskura ke na taal de :)
Noman- 08-25-2007
Sadma tu hai mujey bhi k tuj sey juda hon mai
Lakin ye soochta hon k abb tera kya hon mai
Bikhra para hai tere hi ghar mai tera wajood
Beyqaar mahfilon mai tujey dhoondta hon mai
kya janey kiss adaah sey lia tu ney mera naam
Dunya samjh rahi hai key sab kuch tera hon mai
ley mere tajrubbon sey sabaq aye mere raqeeb
do chaar saal umar mai tuj sey bhara hon main :-/
Noman- 08-25-2007
yeh ek dost ko bohot pasand hai :P
Kaha us ne bharosa dil pe itna nahi karte
Kaha main ne mohabbat main kabhi socha nahi karte
Kaha us ne bohot khush rang dunya ke nazarey hain
Kaha main ne jab tum ho to hum kuch dekha nahi karte
Kaha us ne main tum se door hoon lekin tumhara hoon
Kaha main ne sapney dil ko behlaya nahi karte
Kaha us ne tumhari chaahat tumhain ruswa kar de gi
Kaha main ne shohrat se ghabraya nahi karte
Kaha us ne samaj jao samaj jao samaj jao ay mere dost
Kaha main ne dewaanon ko samjhaya nahi karte ;))
Noman- 08-25-2007
Us ne kaha tum main pehli si baat nahi
Main ne kaha zindagi mein ab tera sath nahi
Us ne kaha ab bhi kisi ki aankhon mein doob jate ho?
Main ne kaha kisi ki aankh main wo khaas baat nahi
Us ne kaha kia main bewafa hoon ?
Main ne kaha mujhe wafa ki ab talaash nahi
Us ne kaha bhool jao mujh ko
Main ne kaha haqiqat ho tum, koi khawab to nahi :)
Noman- 08-25-2007
Us ne kaha mujh se kitna pyaar hai ?
Main ne kaha sitaaron ka koi shumar hai ?
Us ne kaha kia tohfa hai mann pasand ?
Main ne kaha woho ek shaam jo abhi tak udhaar hai
Us ne kaha saath kab tak nibhayo ge ?
Main ne kaha jab tak saans ki taar hai
Us ne kaha mujhe yakeen kaise aaye
Main ne kaha mera naam AITBAAR hai ;)) ;))
Noman- 08-25-2007
jab door ufaq par laali ho
jab shaam udaasi wali ho
jab zabt ka bandhan toota ho
jab aas ka daaman choota ho
jab darshan pyaas bhujate hon
jab mausam geet sunata ho
jab kaan hon tarsey baaton ko
jab neend na aaye raaton ko
jab aankhon main rat-jagge hon
jab apney dard satatey hon
tab
yaad bohot tum aate ho :) :)
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.