Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein
Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein
Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein
Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein
Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein
Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein…
saThiyA- 04-26-2008
Har Baar Mujhe Zakhme-e-Judai na Diya Kar ,
Agar tu Mera nahi to mujh ko Dekhai na Diya kar
sach Jhoot Teri Ankhoon se ho jata hai Zahir,
Kasmayn na Utha itni Safai na diya kar ,
Maloom hai Rehta hai tu ab mujh se gurezaan,
paas a k Mohabbat ki Duhai na diya kar ,
Urr Jaaen to Phir loat kar Aatey nahi Vapis ,
Har Baar Parindon ko itne Rehaai na diya kar
saThiyA- 04-26-2008
Zindagee ki rahoon main...
Barha ye dekha hai...
Sirf sun nahi rakha...
Khud bhi azmaya hai...
Tajurbon se saabit haii...
Jo bhi perhtay aaye hain...
Us ko theek paya hai...
Is tarha ki baton say...
Manzilon sey pehley hii...
Sath chooth jatay hain...
Log rooth jatay hain…
Yeh tumhain bata doon main,
Chahtoon key rishtey main...
Phir girah nahi lagti,
Lag bhi jaye to un main...
Woh kashish nahi hoti...
Ek pheeka pheeka sa...
Rabta to..hota hai...
Rooh key taluk main Tazgee nahi rehte…
Zindagee nahi rehti,
Baat who nahi bantee,
Dostee nahi rehtee,
Lakh baar mil ker bhi...
Dil kabhi nahi miltay,
Zehn key jharokon main...
Yaad key dareechon main...
Titliyoon kay Rangoon main...
Phool phir nahi khiltey…
Is liye main kehta hoon...
Noman- 05-06-2008
Kya Beeti Hai Dil Pe Ye Batayein Kise
Daastan-e-Ishq Hum Sunayein Kise
Mehfil Mein Hum Rehte Hain Kitne Akele
Tanhai Ka Sathi Hum Banayein Kise
Hum To Bohat Aazmaye Gaye Hain
Sochte Hain Ab Hum Aazmayein Kise
Door Nahi Zyada Manzil Meri Dost Mager
Per Apna Humsafer Hum Banayein Kise
Kab Tak Akeli Guzaaregi Zindagi Meri "jaan"
Mohabbat Na Karegi To Paayo gi Kise
Noman- 05-06-2008
Aaj Rootha hua ik dost bohot yaad aaya,
Acha guzra hua kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho ke har ik ashk pe ronay wala,
Aaj jab aankh yeh royi to bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha,
Aaj jab dard hua mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha,
Aaj kajal jo lagaya tu bohat yaad aaya.
Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi,
Aaj jab dil nay bulaya toh bohot yaad aaya.
Noman- 05-12-2008
Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain
Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain
Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Noman- 05-12-2008
Wo Anna Parasat Sahi Us Ki Batoon Main Iqrar Bhi Tha
Us K Chubtay Hovay Lehjay Main Chupa Hova Payar Bhi Tha
Wo Mujay Likhta Hai K Intazar Na Karo Mera
Lakin Us Ki Tehreron Main Sadiyon Say Intazar Bhi Tha
Wo Kehta Tha Mat Rootho K Manana Nahin Ata
Meri Narazgi Pay Lakin Wo Beqrar Bhi Tha
Noman- 05-25-2008
Main Apni Raato Ki Fursaton Main Tujhe Manaaun To Maan Jana
Agar Kisi Din Main Apne Aansu Jo Leke Aaun To Maan Jana
Ye Aik Dil Hi Tumhein Diya Tha So Isko Tum Ne Hi Tor Dala
Shikasta Dil Ki Jo Kirchioon Ko Sameit Laaun To Maan Jana
Tu Khush Nahi Hai Meri Baqa Pe To Sirf Itna Bata De Mujhko
Teri Khushi K Liye Jo Sooli Pe Muskurau To Maan Jana
Tu Badgumaan Hai Meri Wafa Pe To Sirf Aik Baar Aazma Le
Jo Haar Jaun To Lot Jana Jo Jeet Jaun To Maan Jana
saThiyA- 05-25-2008
Tu Badgumaan Hai Meri Wafa Pe To Sirf Aik Baar Aazma Le
Jo Haar Jaun To Lot Jana Jo Jeet Jaun To Maan Jana
Gr8 hai n overall poem b kaffi gud hai
Baqi b Gud sharings
Noman- 06-20-2008
thanks .
Tum se doori ka ehsaas jab satane laga
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga
Jab bhi tumhe bhulane ki koshish kee
Ae doost tu dil ke aur paas aane laga
Woo kah gay ki mera intezaar mat karna
Main kahun bhi tu mujh pe aitbaar mat karna
Woo kahte hain k unhe mujh se muhabbat nahi
Par tu kisi aur se piyaar mat karna ;;;;
Jaane kiya zamana mujh se chahta hai
Mera dil tood kar mujhe hasana chahta hai
Jaane kiya baat jhalkti hai mere chehre se
Har shaqs mujhe aazmana chaahta hai
AMAN.- 06-30-2008
Very Goood sharingsss !! Tfs
AMAN.- 06-30-2008
Chahat Mein Kiya Duniya Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logon Ka Kiya, Samjha'ne Do Inn Ki Apni Majbori,
Main Ney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ney Duniya Walon Ki
Meri Garz Bhi Majboori Thee Unn Ka Huqam Bhi Majboori,
Rok Sakho Tau Pahli Barish Ki Bondo Ko Tum Rokho
Kachi Mitti Tau Mehkey Gee, Hai Mitti Ki Majboori,
Jabb Tak Hunsta Gata Mausam Apna Hai,Sabb Apney Hain
Wakht Parey Tau Yaad Ajati Hai Masnooee Majboori,
Aik Awara Badal Say Kyun Main Ney Saaya Maanga Thaa
Meri Bhi Yeh Nadani Thee, Uss Ki Bhi Thee Majboori,
Muddat Guzri Aik Wadey Per Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin`
Hum Ney Sari Umer Nibhaye, Apni Pehli Majboori ~!!
kiran- 08-19-2008
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosti
wo kuch na kahte magar honth to hila dete
Noman- 10-02-2008
ji to karta hai usay muft main jaan de dun Mohsin
bhala itnay masoom kharidaar se kia lena dena
Sinny- 10-08-2008
Baat Aisi Ho Ke Jazbaat Kam Na Hon
Khayalat Aise Hon Ke Kabhi Gham Na Ho
Dil Ke Kisi Kone Mein Itni Si Jagah Rakhna
Ke Khali Khali Sa Lage Jab Hum Na Hon...!
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.