Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chalaa yaqein ke burey ham hain dosto
Kis ko hamaarey haal se nisbat hai kyaa karein
Aankhein tu dushmanoun ki bhi purnam hain dosto
Apane siwaa hamaarey na hone kaa Gham kise
Apani talaash mein tu ham hi ham hain dosto
Kuchh aaj shaam hi sey hai dil bhi bujha bujha
Kuchh sheher ke chiragh bhi maddham hain dosto
Is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto
Sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai
Duniyaa main aisey log bahut kam hain dosto
*xxJd's Nottyxx*- 03-10-2008
Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi roti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb lay jaa ker
ye kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isay tum dil ki dharti ka pata mat dou
ye is mein dard boti hai kaha bhi tha
muhabbat mein khushi k baad gham ki rut
bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil
bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha
azal sey is ki fitrat hai zamaaney ko
jaga ker khud ye soti hai kaha bhi tha
ye ser sey paa'on tak bus raakh ker dey gi
bohat bey dard hoti hai kaha bhi tha
Noman- 03-14-2008
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi pe roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ki khoi na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko dus na sake
jahan koi kissi pe huss na sake
jahan koi b gunjal kass na sake !
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal
AMAN.- 03-14-2008
Usse Main Bhool Jaana Chahti Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahti Hoon
Dukhi Rehne Ki Aadat Ho Gayi Hai
Mager Ab Gungunana chahti Hoon
Purane Sab Taluq Toor Ker Ab
Nayi Duniya Basana Chahti Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un se Jaan Churana Chahti Hoon
Woh Sab Tohfe Woh sookhe Phool Saare
Main Ab Un Ko Jalana Chahti Hoon
Main Utna Pass Aati Hoon Tumhare
Main Jitna Door Jaana Chahti Hoon
Mere Hamdam Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Tere Pass Aana Chahti Hoon
Ubharne Ki Koi Khawhish Nahi Hai
Ke Ab Main Doob Jaana Chahti Hoon
saThiyA- 03-22-2008
Yeh jo aik dasht-e-firaq hai
Yeh jo aik dasht-e-firaq hai yeh rukay agar
Yeh rukay agar toa nishan milay
Yeh nishan milay keh jo faasoloan ki saleeb hai
Yeh garri hoi hai kahan kahan
Meray aasman say kidhar gayee
Teray ittifaq ki kehkashan
Meray bay-khabar meray bay-nishan
Yeh rukay agar toa pata chalay
Main tha kis nagar tu raha kahan
Keh zaman-o-makan ki yeh wusaatain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Woh meray naseeb ki barishain
Kisi aur chhat pay baras gayeen
AMAN.- 03-25-2008
Veryyy goooood ^^^
meraa dil bhii shauq se toDo ek tajurbaa aur sahii
laakh khilone toD chuke ho ek khilonaa aur sahii
raat hai Gam kii aaj bujhaa do jalataa huaa har ek chiraaG
dil men aNdheraa ho hii chukaa hai ghar men aNdheraa aur sahii
dam hai nikalataa hai ik aashiq kaa bhiiD hai aa kar dekh to lo
laakh tamaashe dekhe honge ek nazaaraa aur sahii
khanjar le kar sochate kyaa ho qatl "Murad" bhii kar Daalo
daaG hain sau daaman pe tumhaare ek izaafaa aur sahii
AMAN.- 03-25-2008
GHALAT FEHMI !!!
Yeh mumkin hai humare dermiaan koi
Ghalat fehmi bhi na rehti
Jo apny dil main choti si
Khalish hai khatam ho jati
Bata deta keh mujh ko aj bhi us ki zarurat hai
Jo es jewaan ko hasil hai to bas us ki muhabat hai
Bata deta keh logoon ki sabhi batin fasaney hain
Sabhi qisay puraney hain
Main keh deta
Zara si baat per yuun ruthna acha nahi hota
Muhbat kerny waloon main
ghalat fehmi to ho sakti hai
Per jhagra nahi hota
Main her ik baat keh deta
Khalish bhi duur ho jati
Main us ka haath pakrey yuun hi us ka humqadam rehta
Wo agy haath to kerta !!
wo mujh se baat to kerta!!
AMAN.- 03-25-2008
merii vafaayen yaad karoge
rooge, fariyaad karoge
mujhako to barbaad kiyaa hai
aur kise barbaad karoge
ham bhii haNsenge tum par ik din
tum bhii kabhii fariyaad karoge
mahafil kii mahafil hai Ghamgiin
kis kis kaa dil shaad karoge
dushman tak ko bhuul gaye ho
mujhako tum kyaa yaad karoge
jaakar bhii naashaad kiyaa thaa
aakar bhii naashaad karoge
chhoDo bhii 'Taseer' kii baaten
kab tak us ko yaad karoge
Noman- 03-27-2008
Hasrat to thi k teri ankh ka ansu ban jaon
par tu roye yeh bhi hum ko gawara nahin
AMAN.- 03-27-2008
ishq kyaa chiiz hai ye puuchhiye paravaane se
zindagii jis ko mayassar hu_ii jal jaane se
maut kaa Khauf ho kyaa ishq ke diivaane ko
maut Khud kaa.Npatii hai ishq ke diivaane se
ho gayaa Dher vahii.n aah bhii nikalii na ko_ii
jaane kyaa baat kahii shamaa ne paravaane se
husn be-ishq kahii.n rah nahii.n sakataa zi.ndaa
bujh ga_ii shamaa bhii paravaane ke jal jaane se
khaaye jaatii hai nadaamat mujhe is Gafalat kii
hosh me.n aa ke chalaa aayaa huu.N mayaKhaane se
kar diyaa gardish-e-ayyaam ne rusvaa "Sahir"
mujh ko shikavaa hai yagaane se na begaane se
Noman- 04-01-2008
ik umar ho chuki usay badlay hue magar
is zindagi se us ka hawala nahi gaya
us ne kaha to us ki tamanna bhi chor di
us ki kisi bhi baat ko taala nahi gaya
Amber- 04-07-2008
Baton baton mai bichrnay ka ishara kar k
Khud bhi roya bht woh hum say kinara kar k
Sochta rahta hon Tanhai mai anjaam-e-khaloos
phir ussi jurm-e-mohabbat ko dobara kar k
jugmagaa deen hain tere shahar ki galain mai nay
APNAY HAR ASHQ KO PALKON PAY SITARA KAR K
daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
or kuch roz tairay sath guzara kar k
Aik he Shahr mai rahna hai magar milna nahin
Daikhtay hain yeh Aziat bhi gawara kar k
Noman- 04-22-2008
"ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh'hai dil main chupi batein
jisse tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
ragg-o-jan main utar'ti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi batlao
bhala wo koun hai humdam.........?
bhala wo koun hai humdam.........?"
MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN
bohat dhere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha.......
"main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai"
WO KEHTI THI
"mujhe ye khauf hai janaa........
kahin tum dair na kardo!"
MUJHE YE MAAN THA KHUD PER
k behte waqk ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga
!!!!!!MAGAR SHAYAD!!!!!!
ussay janay ki jaldi thi
k iqraare wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye.......
MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB
main khud ko roolta hoon ab
assay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha
MAIN KAISE KAHON YE AB
k haan janaa......!
tumhain jo khauf la'hak tha
wo to ho giya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai.........
bohat he dair kar di hai......
AMAN.- 04-23-2008
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai,
Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe,
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai
Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas ,
Yeh Aasman, Jo Sitaron K Jaal Rakhta Hai
Tera Khayal He Kuch Meherban Hai Verna,
Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai,
Kay BeRuckhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
saThiyA- 04-26-2008
Mairay ander koi mujhsay juda hay...
Mai'n chup ho jaaoo'n to woh bolta hay...
Kisi ka hal kisi ka mas'ala hay...
Mohabbat apna apna tajeraba hay...
Ager sab aarzuey'n mar chuki hai'n...
To mujh may kaun saa'nsai'n lay raha hay...
Badalta hee nahee'n nazrai'n kabhi woh...
Bohot acha hay jo na-aashna hay...
Baher-gaam aa rahi hay aik aahat...
Musalsal koi peecha kar raha hay...
Dukho'n nay raabtay qaa'im kiyay hai'n...
Wegerna kaun kis ko chaahta hay...
Maira bhi chaahnay waala tha koi...
Woh bichhrra hay to andaazah hua hay...
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.