Member of the Week [ Sathiya ] Aslam o Alaikum
yeh topic 2 month se band tha aur ab silsiley ko dobara shuro kiya ja raha hai .. aur is week jo member yahan qaboo aane wali hai us ka naam hai Sathiya .. Miss Sathiya jo ke hum sab ki tarah Pakistani hi hain lekin wo kafi arse se apni family ke sath Canadamain reh rahi hain .. Sathiya is forum ki Youngest Membersmain se aik hai .. aur yeh sab se Fast 10 Thousand Postskarne ka aizaz bhi rakhti hai .. Posts Bharaowale topic main khasoosi dilchaspi hai in ki :P .. aur 1 2 1 posts karne ka bhi kafi shoq hai in mohterma ko .. ;)) Sathiya ki posts takreeban har section main hi payi jati hain lekin in ko Shair o Shairyka bohot shoq hai.. in ko Music main kafi dilchaspi hai aur Youtube ki bhi kafi deewani lagti hain :P .. yeh bohot hi achi, decent aur Friendly Natureki larki hai aur is ki posts kafi dilchasp hoti hain, isi wajha se yeh 2 dafa Member of the Month ka aizaz bhi hasil kar chuki hain .. mere khayal se introduction to kafi ho gya .. baki aap jo kuch bhi in se poochna chahain aap yahan pooch sakte hain .. Sathiya poora week yahan aap ke sawalat ke jawabat deti rahe gi .. aur haan ek aur baat .. aap jitne zayada sawalat karein ge .. utne hi zayada jawabat payein ge =)) .. is lie is mauke se khasoosi faida uthayein :P aur zayada se zayada sawal karain .. to abhi hum bulate hain apni mehman ko .. Plzzzzz welcome ..Miss Sathiyaaaaaaa
Noman- 06-12-2008
sab se pehle to yeh bata do ke ..
Bachpan kahan kahan guzra aur kaisa guzra ?
P@R!- 06-12-2008
apna real name n DOB batao?...
Noman- 06-12-2008
apni family ke bare main bata do ?
kon kon hai family main ?
aur kis se zayada close ho ?
larayian kis se zayada hoti hain ?
aur daant kis kis se parti hai ? waghera waghera :P
Noman- 06-12-2008
Canada main kitna arsa ho gya hai ?
Kia Pakistan rehna acha lagta hai ya wahan ?
Noman- 06-12-2008
who is ur best friend ?
sab se zayada raaz ki baatein kis se share karti ho ?
Onlyurs- 06-13-2008
ur fav dish :?:
kuch khaillnay waghaira ka bhi shouq hai kia :?:
sab say ziyada maza kiss section main atta hai posts kernay ka :?:
$oni- 06-13-2008
Welcome ji welcome :D
ur dream which want to b true?
$oni- 06-13-2008
Asal zindagi men hansne khailne wali ho ya sanjeeda type?
$oni- 06-13-2008
Kis se inspire ho real life men?
Noman- 06-13-2008
Miss Sathiya .. yeh bata do ke aap ko JD ka link kaise pata chala ? aur kis ne join karne ko kaha ?
aur ab kaisa lagta hai yahan aa ke ?
$oni- 06-13-2008
Jd pe sub se zada kis se dosti hai?
*xxJd's Nottyxx*- 06-13-2008
koi school life ka qissa suna dein.
saThiyA- 06-13-2008
Re: Member of the Week [ Sathiya ] Aslam o Alaikum
yeh topic 2 month se band tha aur ab silsiley ko dobara shuro kiya ja raha hai .. aur is week jo member yahan qaboo aane wali hai us ka naam hai Sathiya .. Miss Sathiya jo ke hum sab ki tarah Pakistani hi hain lekin wo kafi arse se apni family ke sath Canadamain reh rahi hain .. Sathiya is forum ki Youngest Membersmain se aik hai .. aur yeh sab se Fast 10 Thousand Postskarne ka aizaz bhi rakhti hai .. Posts Bharaowale topic main khasoosi dilchaspi hai in ki :P .. aur 1 2 1 posts karne ka bhi kafi shoq hai in mohterma ko .. ;)) Sathiya ki posts takreeban har section main hi payi jati hain lekin in ko Shair o Shairyka bohot shoq hai.. in ko Music main kafi dilchaspi hai aur Youtube ki bhi kafi deewani lagti hain :P .. yeh bohot hi achi, decent aur Friendly Natureki larki hai aur is ki posts kafi dilchasp hoti hain, isi wajha se yeh 2 dafa Member of the Month ka aizaz bhi hasil kar chuki hain .. mere khayal se introduction to kafi ho gya .. baki aap jo kuch bhi in se poochna chahain aap yahan pooch sakte hain .. Sathiya poora week yahan aap ke sawalat ke jawabat deti rahe gi .. aur haan ek aur baat .. aap jitne zayada sawalat karein ge .. utne hi zayada jawabat payein ge =)) .. is lie is mauke se khasoosi faida uthayein :P aur zayada se zayada sawal karain .. to abhi hum bulate hain apni mehman ko .. Plzzzzz welcome ..Miss Sathiyaaaaaaa
Thanks Noman bahi itne kuch likhne ka =)) lolzz Jald hi answers don ghi sabhi k
Palkain- 06-13-2008
Pakistan mein kahan rahti hain koun si city mein ?
pak ziyada acha lagta hai ya Canada :P
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.