View Full Version: Member Of The Week [ Aman ]

jandians >>Interview Corner >>Member Of The Week [ Aman ]


<< Prev | Next >>

Bunty- 10-11-2007

eidi kitni milti hey ? :4:

Maria- 10-11-2007

ap ki life ka sab se zayada embarasing moment konsa tha ?

Maria- 10-11-2007

cooking aati hai ? kia kia paka sakte ho ?

*xxJd's Nottyxx*- 10-11-2007

How many languages can u speak?? If u're given the chance to settle in any country which country would u select?? Agar aap ko jd se 1 week k liye ban kar diya jaaye tu whts ur feelings ??

Noman- 10-11-2007

agar aap ko sakht bhook lagi ho.. aur aap ki favt dish paki ho ... lekin ek dum koi dost bulane aa jaye .. to chale jayein ge kia ?

AMAN.- 10-11-2007

eidi kitni milti hey ? :4: pk main dad say kaafi zadha milte the yahan jab say shift howa hon eide lainay ko zadha dil hi nahi karta I mean konsa kahen jana hota hay yaan kuch karna hota hay waisay bi yahan already hi pass main paisay hotay hain

AMAN.- 10-11-2007

ap ki life ka sab se zayada embarasing moment konsa tha ? Zadha dafa embaras nahi howa main life main frnds kay samnay to kabhi nahi , Haan eik dafa main apnay kamray main thaa 1 saal pehlay ki baat hay takreeban .. to main kaafi dair say kamray main tha apnay aur sitting room main shayad Quran khawani ho rahe the kaafi zadha aurtain the mujay pata nai tha , Mian kamray say bahar nikal kar onchi onchi gana shoro kar diya * aMMA DEKH O DEKH TERA MUNDA WIGRA JAYAI * aur aisay hi main sitting main chala gaya gatay gatay aur waha sare aurtain I was ashamed ..

AMAN.- 10-11-2007

How many languages can u speak?? If u're given the chance to settle in any country which country would u select?? Agar aap ko jd se 1 week k liye ban kar diya jaaye tu whts ur feelings ?? I can speak Punjabi Urdu English aur French ki thori thori samaj ajaty hay ! I wud love to live in france I dont know I like french may be dats why ! Hmm Main aisa kuch karon ga nahi kay ban kiya jao agar ban kiya gaya to mujay bohat zadha bura lagay ga ....

AMAN.- 10-11-2007

cooking aati hai ? kia kia paka sakte ho ? NNahi mujay cooking zadha nahi atty hay abhi aglay kuch maheeno main seekh jaon ga par abhi nahi atty hay .. waisay mujay tea banani aur tikya banani atty hain chicken sandwiches well guzaray jitna atta hay :p

AMAN.- 10-11-2007

agar aap ko sakht bhook lagi ho.. aur aap ki favt dish paki ho ... lekin ek dum koi dost bulane aa jaye .. to chale jayein ge kia ? Yai main chala jaon gaa , kiu kay frnd tab hi bulatay hain jab khailna wagaira ho ya bahar kahe jana hon ya sumthing interesting ho , so I prefere going out wid frnds than eating !

Maria- 10-11-2007

ap ke city ka name kia hai ?

AMAN.- 10-12-2007

ap ke city ka name kia hai ? Jiss city main main ajjkal reh raha hon us ka name Sligo hay !

Noman- 10-12-2007

aap ka naam kis ne rakha ?

Noman- 10-12-2007

ghar mein sab kis naam se bulate hain .. aur nick names kitne hain .. ? Aman kon kon kehta hai ?

Noman- 10-12-2007

favt mausam konsa hai ?

Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.