View Full Version: kiran's collection

jandians >>Shayr o Shayri >>kiran's collection


<< Prev | Next >>

kiran- 01-19-2008

Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki Bohat Khubsurat Magar Saanwali Si Mujhay Apne Khuaboon Ki Bahoon Main Pakar Kabhi Khuwab Main Muskarati To Hogi Issi Khuwab Main Kasma-Kasam Kar Sarhane Se Takeye Girati To Hogi Wohi Khuwab Din Ki Mundaioon Pe Aakar Issi Maan Hi Maan Main Lubhati To Hoonge Kai Saaz Seene Ki Khamoshiyoon Main Mere Yaad Se Jhinjhate To Hoonge Woo Besakhta Dheme Dheme Suroon Main Mere Dhun Main Kuch Gungunati To Hogi Chalo Khat Likhain Jee Main Aata To Hoga Magar Ungaliyaan Kapkapati To Hoonge Qalam Haath Se chhoot Jata To Hoga Umangain Qalam Phir Uthati To Hoonge Mera Naam Apni Kitaboon Pe Likh Kar Woo Dantoon Main Ungaliyaan Dabati To Hogi Kabhi Moon Se Aah Nikalti To Hogi Badan Dhere Dhere Sulagta To Hoga Kahin K Kahin Paoun Parte To Hoonge Dupata Khande sebaar Baar Sarakta To Hoga Kabhi Subha Ko Sham Kehti To Hogi

kiran- 01-19-2008

Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa, Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si, Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai, Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski, Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai, Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di, Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa

kiran- 01-19-2008

Ek ShAm TanHai Ki Mera dil bohat udaas hai yeh raatain bay sukooN haiN yeh din bay aaraam haiN nujhay mohabbat ki piyaas hai Mera dil bohat udaas hai Go kay tu mujh say bichar gaya Mera chayn bhi mujh say lay gaya Na janay kyoon phir teri aas hai Mera dil bohat udaas hai Tujhay bholnay ki jab koshish kari Haqeeqat ko samajhnay ki koshish kari yun laga tu kahiN aas pass hai Mera dil bohat udaas hai Zindagi aisay daurahay par aayee hai Kay sirf maiN aur meri tanhai hai yeh kaisa ajeeb ahsas hai Mera dil bohat udaas hai

kiran- 01-19-2008

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarhan apno se khaee hai maen nay maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

kiran- 01-19-2008

maray khowab maray sapnay sab maray tak han maray bad inhan yad karay ga kon mari chahat ban jay gi afsana mari muhabat ko yad karay ga kon maray tak han ya tama sundar nazaray maray bad inhan aabad karay ga kon mari kahaniyan bikhran gi rahoon par maray asfanoon ko yad karay ga kon mari khtaoon ko shomar karay ga zamana mari wafoon ko yad karay ga kon jo guzarahay thay hum nay zamnay mill kay on zamanoon ko yad karay ga kon mari ahan maray sath ho jain gi dafan maray ashkon ko yad karay ga kon ik tum say ha zinda ya chahat mari tum hi na ho gay tu yad karay ga kon aakay is sath ko yadgar bana lan kal kaya pata is yad ko yad karay ga kon

kiran- 01-19-2008

Chali aati hain dabey paaun teri yaaden shaam dhaley ke hoti hai chiraghan dil ki mehfil shaam dhalley Huay tum kin raahun ke musaafir,itna to bata detey ke lout aatey hain panchi bhi ghar ko shaam dhaley Tere intazaar mein yoon har roz jhilmilati hain aankhen ke jaise mazaar pe jalta hai koi diya shaam dhaley Lout aaey na kahin takra ke arsh se duaa meri dil se aati hai aksar yeh sadaa shaam dhaley Teri doori ka gham sataata rehta hai musalsal mujh ko tujh bin udaas si hoti hai fazaa shaam dhaley Teri yaadun se bandhi rehti hai dil ki dharrkan har dharrkan se tere naam ki aati hai sadaa shaam dhaley Din ka koi pal bhi teri yaad se ghaafil nahi hota teri kami ka magar hota hai ehsaas shaam dhaley

kiran- 01-19-2008

wo mera tha yeah batana ajeeb lagta hai ab un se yeah ankh milana ajeeb lagta hai jo kabhi zindagi main mera na ho paya ab us ka khuwab main ana ajeeb lagta hia baray khulus say dawat to bheji hai unhonay per unki mehfil main jana ajeeb lagta hia tha jiska hath hamesha hamaray haton main ab un say hath milana ajeeb lagta hia

kiran- 01-19-2008

Kaash hum tum bhi ajnabi hotey jaise duniya ke loog hotey hai la talauq wafa se begaaney itafaqann kabhi jo mill jaey raah se katra ke hum nikal jaatey na tasadumm pe dil machall jaana naa mohabbat ke deep jall paatey naa yeh ghazlein likh paati naa afsanouN ka silsila hota naa mohabbat ke imtihaan hotey

kiran- 01-19-2008

tum door ho kay be meray pass rehtay hoo meray dil mey bastay ho meray saath rehtay hoo shab-e-tanhi ke ik ik gharee phool bantee hey khushbu ban kay tum mera angaan mehkatay hoo tumare yaad ke hidatt say jab jalta hey dil mera tab tum payar ka sawan ban ky baras jatay hoo jab be kabi woh surmaee ankhyn uthtee haan mera dil machalta hey aur tum sansay ban jatay hoo shab-e-hijraan may chamaktay meh-o-anjum sab mandd pertay haan janaa jab tum samnay atay hoo tumaray sard rawaye pey haan jalta hey jee mera kiun khud be tarapty ho aur mujko be tarpatay hoo

kiran- 01-21-2008

Haan Mai Ne Bhi Mohabbat Ki Thi Do Din Zinda Rehne Ki Chahat Ki Thi Phir Hua Yun Ke Qismat Apni Rooth Gaye Jab Se Mene Teri Ibaadat Ki Thi Un Se Kiya Gila Jis Se Chaahe Wo Milain Hun Kab Kisi Se Adaawat Ki Thi Wo Tou Bas Baatoun Mein Mohabbat Kerta Tha Mager Men Tu Dil-o-jaan Se Mohabbat Ki Thi Kuch Aur Zindagi Baaqi Thi Shaayad Jab Tum Ne Aakhri Innayat Ki Thi Us Ko Aur Koi Mil Gaya Tha Shayad Mager Mein Ne Tu Ik Baar Mohabbat Ki Thi

kiran- 01-21-2008

mere humsafar mere hum nasheen mane RAB se manga to kuch nahi main ne jab b mangi koi dua nahi manga kuch b tere siwa yeh talab kiya k mere khuda sabi rahatein sabhi chahatein wo ata kare tujhy manzilein yeh talab kiya k mere khuda tujhy bakht de tujhy taaj d tujhy takht de mere humsafar mere chara gar yeh hai dosti ka kathan safar mere saath chalna zara sooch kar zara dekh to mera hosla mere paas jo b wo hai tera nahi or kuch b tere siwa meri dosti meri zindagi meri khamoshi meri be-basi mera ilm b mera nam b meri subah b k meri sham b k jo mil sakein mere daam b wo sabhi kuch tujhy ata kare mere chara gar tu yaqen to kar mujhe mangna to na aa saka mene phr b mangi yehi dua k gawahi de g amera khuda main ne jab b uss se talab kia nahi manga kuch b tere siwa

kiran- 01-21-2008

Us ne kahaa sun Ahad nibhaane ki Khaatir mat aanaa Ahad nibhaanevaale aksar majabuuri yaa Mahajuuri ki thakan se lauTaa karate hain Tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao Jin aaNkhon men Duubo Jis dil men bhi utaro Meri talab aavaaz na degi Lekin jab meri chaahat aur meri Khvaahish ki lau Itani tez aur itani uuNchi ho jaaye Jab dil rode Tab lauT aanaa

kiran- 01-23-2008

"AjNabi" Yea Gazal Hai Meri Us k Liye Jo Kabi Bani Thi Mere Liye Jo Kehti Thi Mujay Humnasheen Teri Chah Mein Meri Hai Khushi Tere Chehray Pay Hai Wo sadagi Jaisay Huns Pardi Koi Munchali Tujay chahna Meri Aas Hai Tujay Daikhana Meri pyas Hai Zinda rahon Tu yea Soch Ker Teri Mein Rahon Mere Humsafar Thi Wo Nazani Bari Shookh e Dil Meri Ankhon Mein Hai Wo Munzar Abi Jub Wo khoon K ansooo Rooo parein Meri Humnasheen Meri Nazani Kisi Aur K sung Thi Khari Jo Main Gozra Us K Kareeb say Tu Nazar chora Kar Chali Gai Jo poucha Us nay k Kon Tha Tu booli Tha Koi Ajnabi.......!!!!

kiran- 01-23-2008

"Bepannah pyar" Kal Rat Khowab Mein Teri Sorat Dikhai Di Daikha Tu Boli ao K kuch Rahatein Bakshon Chehray Pay Tere Is Kadar Be-Ronaki Kion hai Ao K Apni Deed Say Inhein Tazagi Bakshon Lab tere Muj Ko Sadiyon say Khamoosh Lagtay Hein Ao K Apnay Honthon say Inhein Moseki Bakshon Ankhon Mein Teri Kis Kadar Hai Chaya Andaira Ao K APni Nazar Say Inhein ROshani bakshon Kion Is Kadar Tere Jism Mein Larkharahat Hai Bahon mein CHalay Ao Phir Zindagi Bakshon Thi Kis Kadar Wo Raat Haseen Dil Thay Be-karaar Na DoRiyaan Thein Pass AUr Na Koi Intazaar Touti jo Neend Sath He Sub CHooor Hoo Gaya Hathon Mein Tha Jo Hath Tera Dooor Ho Gaya Ab Doriyaan Hein pass Aur WOhi Intazaar Aaja K Omer Kam hai Aur Be-Pannah Hai Pyaaar

kiran- 01-23-2008

"Tum Lot Anaa" Kabi jo rasta-e-Sung-e-mer mer Pay Anch aye To Lot Ana Kabi Jo Dil ki dewar-o-Der Mein Shagaf Aye To Lot Ana Kabi Wajood Apna Tanha Pao Ya Dasht-e-Tanhae Mein Thak See Jao Kabi Koi Yaad Aye Aur Apnay Ashkoon Mein Bheegh Jao Kabi Wo Chehra K Jis Ki Khatir Tum Nay Hum Ko Bhola Diya Agar wo Chehra Tumein Rulaye To Lot Ana Tumein Qasum Hai Tum Lot Ana…………….... Tum Lot Ana………………

Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.