View Full Version: Jd's Notty Diary

jandians >>Shayr o Shayri >>Jd's Notty Diary


<< Prev | Next >>

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

DIL MEHV E INTEZAAR HAI . AANKEHN HAIN FARSH E RAAH AAO KUBHI TO CHAHNY WALON KEY SHEHAR MEIN .................... Tou badalta he tou be sakte meri aankhein Apne hath ki lakeeron se ulhaj jati hein.. .................... Han chalo jhoot sahi wahday wafa ho jatay Yoon bichadtay k mairay lab py dua ho jatay Kiya zaroorat thi zamaanay ko khabr karny ki Ghar jalana tha to chupkay say diya ho jatay .................... taluq baad main tabdeel ho ker jo bhe reh jaaye, mohabbat main woh pehla muskerana yaad rehta he, kisi ki laakh baatein aik pal main bhool jaati hain, kisi ka aik hee jumla purana yaad rehta he !

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Ulfat ki zanjeer say dar lagta hay... Kuch apni taqdeer say dar lagta hay... Jo kisi ko kisi say juda karti hay... Haath ki us lakeer say dar lagta hay...!

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Hai ajj bhi apni anaa ka wohi mizaj mushkil hai apne dard ka izhaar ajj bhi .......... Aashna kia usne khushion se mujhe phir jaate jaate aansuon ki dua de giya ........... tum ro baro bhi ho, hum kalaam bhi ho tum ko daikhain k tum sey batain karain ........... kami nahi thi kisi cheez k magar phir bhi akaila baitth k rooya hoon zaar zaar buhat ........... sajaye rehty hain chehroon py jo hasee ke lehar najany rooh main un ky ketny shagaaf hoty hain ........... Itna acha to na tha naam hamaara laikin... Hum tairay haath ki tehreer hua kartay thay... Humai'n laugo'n nay hee gustaakh kiya hay werna... Hum yoo'n chup thay k tasveer hua kartay thay...!

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

ik bulbul se thee meri dosti purani bahut mukhtasir magar masoom thee woh kahani bahut woh bachpan sapnoon mein dooba hamara aik woh tha dewana aik mein dewani bahut us ke nainoon mein tha mere nainoon ka aks hamein maloom tha haal dil ka zubani bahut jane kya kya socha tha us ne magar mein thee us ki arzoon se anjani bahut ata tha mohabbat ka saleeqa usey bhati thee usey dil ki lagani bahut ur gaya woh panchi ik din dekhte dekhte woh jis ki thee har ada sohani bahut cheen liya waqt ne mujh se mere khawboon ka sathi kathin hai us bin zindagi beetani bahut

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

*Mujhay Iss Zindgani Se Koi Shikwa Nahi Lekin, Zara Si Be Sakooni Hay, Na Janay Kiun Mery Dil Mein, Ajab Ik Khauf Rehta Hay, Mujhay Mehsoos Hota Hay, K Mery Dil K Darwazey Pe, Teri Yaad Ki Dastak Mein Vo Shiddat Nahi Baqi, Bohat Si Khas Baatein Hain, Jo Mujh Ko Aam Lagti Hain, Mery Dil Mein Unhein Sun Kar Koi Toofan Nahi Uthta, Teri Aankhein,Tera Chehra, Teri Awaaz Ki Rimjhim, Sabhi Kuch Khuwab Lagta Hay, Mujhay Mehsoos Hota Hay, Sunehrii Titliyoon Jaisy, Vo Sab Khush Rung Se Sapney, Mery Lafzoon K Pholoon Par, Bohat Din Se Nahi Baithy, Mujhay Mehsoos Hota Hay, Samay Ki Tez Lehron Ne, Hamary Rait K Kachay Gharonday Torr Dalay Hain, Mujhay Un Tez Lehron Se, sunehrii Titlion Jaisy, Sabhi Khush Rung Sapnoon Se, Koi Shikwa Nahi Lekin, Zara Si Be Sakooni Hay, Mujhay Mehsoos Hota Hay, Tumharay Dil K Darwazey Pe Meri Yaad Ki Dastak, Meri Jaan Ab Nahi Hoti, Meri Jaan Ab Nahi Hota, K Meri Yaad Aye To, Tumhari Aankh Bhar Aaye, Duaein Mangtey Lamhay, Mujhay Tum Bhool Jati Ho, Magar Phir B Mujhay Tum Se, Koi Shikwa Nahi Lekin, Ajab Si Be Sakooni Hay, Ajab Ik Khauf Hay Dil Mein, Main Tum Ko Bhool Jaon Ga…!!!

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

kahiin CHAAND raahon meIn kho gayaa kahin CHAANDNII bhii bhaTak gae main charaaG vo bhii bujhaa huaa merii raat kaise chamak gae merii daastaan kaa uruuj thaa terii narm palkon kii chhaon mein mere saath thaa tujhe jaagnaa terii aaNkh kaise jhapak gaei kabhii ham mile to bhii kyaa mile vahii duuriyaan vahii faasale na kabhii hamaare qadam barhe na kabhii tumhaarii jhijhak gaei tujhe bhuul jaane kii koshishen kabhii qaamayaab na ho sakiin terii yaad shaaKh-e-gulaab hai jo havaa chalii to lachak gaei

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Dil bhulata nahi hai mohabbaten uski Pari hui theen mujhe kitni aadaten uski Yeh mera safar uski khushbuon main guzra Mujhe to raah dikhati theen chahaten uski Door hone laga hon to aisa lagta hai Ke chaaon jesi theen mujh par rafaqaten uski Yeh kis gali main,yeh kis shehar main nikal aaye Kahan pe reh gayen logon sadaqaten uski Main barishon main juda ho gaya hon us se magar Yeh mera dil meri saansen hain amaanaten uski

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Kia kia baaten woh apni tehreer main likhti hai Ek nayi takdeer meri takdeer main likhti hai Woh aisi hamdard ke apne pyar ke saaray lafz Mere haathon ki lakeer main likhti hai Koi raaz chupana shayad pasand nahi usay Woh apna har khawab khuli tabeer main likhti hai Main us ka ek man-chaha qaidi hoon isi liye Naam mera woh zulfon ki zanjeer main likhti hai Bol uthay ek ek taassur us ke chehre se Saari kahani woh apni tasveer main likhti hai Khoob chehakti hai woh khat ke pehle hissay main Lekin dil ki sachi baat aakhir main likhti hai Jis khoobi se pehchana jaye koi shakhs Qudrat woh khoobi us ke khoon-e-khameer main likhti hai

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Saawan bhi mera tum ho,Meri piyas bhi tum ho Sehra ke badalon main,Chupi aas bhi tum ho Tum yun to bohat door,bohat door ho mujh se Ehsaas yeh hota hai,mere pass bhi tum ho Har zakham ki aghosh main hai dard tumhara Har dard main taskeen ka ehsaas bhi tum ho Kho jao to veeran si ho jati hain raahen Mil jao to phir Khizar bhi,Ilyaas bhi tum ho Likhti hon to tum hi utartay ho qalam se Parhti hon to " Al-Hamd " se " Wan-nass " bhi tum ho

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Ek baar kar ke aitbaar likh do Kitna hai mujh se pyar likh do Kat'ti nahin yeh zindagi ab tere bin Kitna or karun intezar likh do Taras rahe hain bari muddat se Is baar apni mohabbat ka izhaar likh do Deewane ho jayen jise parh ke hum Kuch aisa tum mere yaar likh do Zyada nahin likh sakte to mat likho tum Mohabbat bharay lafz do char likh do Ek baar likho mohabbat hai mujhe tum se Phir yehi jumlä bäär bäär likh do

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Mast ankhon ki hirasat main chale aye hain Be-emaan log hifazat main chale aye hain Yun laga hum ko tere dil main utar ke jese Baadshah apni riyasat main chale aye hain Takhta-dar pe pohanchay to ab sochte hain Aap ki chahat main kahan chale aye hain Is jung ke asbaab to maloom nahin hain Hum to bas Shoq-e-Shahadat main chale aye hain

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

Mujhe aawaz de lena Kabhi jab ankh chalkay to Kabhi jab dil na sambhlay to Mujhe aawaz de lena Kabhi jab door ho koi Bohat majboor ho koi Koi aawaz na de to Mujhe aawaz de lena Koi ansoo na ponchay to Koi hansnay se rokay to Koi tum ko sataye to Mujhe aawaz de lena Kabhi jab din na guzray to Kabhi jab raat tarpaye to Kabhi din main andhera ho Mujhe aawaz de lena Main tere pass hota hoon Main tere sath rehta hoon Magar phir bhi guzarish hai Mujhe aawaz de lena

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

CHALO TALASH KARAIN RAASTA UJALO'N KA Bana liya hai tumhe hamsafar khayalo'n ka chalo talash karain raasta ujalo'n ka........ -Hamara dil wo chehkta huwa parinda hai -Jo chahato'n k naye geet ga k zinda hai -Usey pata hai khushi k naye hawalo'n ka Chalo talash karain raasta ujalo'n ka....... -Jaha'n hai dard waha'n apna dil jalayengey -Ham iss diye se mohabbat ko jagmagayenge -K Roshni hai Nisha'n Pyar Karne Walo'n ka Chalo talash karain raasta ujalo'n ka Bana liya hai tumhein hamsafar khayalo'n ka Chalo talash karain

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

titliyon kay mousam main nochna gulabon ka reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai dekh kar parindon ko baandhna nishaanon ka reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai tum abhi naye ho na iss liye preshaan ho aasmaan ki jaanib tum iss tarah say mat dekho aaftain jub aanii hon, tootna sitaaron ka reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai iss shehar kay bashinday nafrton ko bou kar bhi intezaar kartay hain fasl ho muhabbat kii chorr kar haqeeqat ko dhoondna saraabon ka reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai ajnabi fizaaon main ajnabi musaafir say apnay har taaluq ko daaimii samjh laina aur jub bicharr jaana mangnaa duaaon ka reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai khamoshi mera shewaa, guftugoo hunar unkaa meri be-gunaahii ko log kaisay maanain gay baat baat peh jub kay mangnaa hawaalon ka reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai

*xxJd's Nottyxx*- 07-25-2008

IK Taza Hikayat hai !! Sun lo to Inayat hai! Ik Shaks ko dekha tha Taron ki tarha Hum ne ! Ik Shakhs ko Chaha tha Apno'N ki Tarha Hum ne ! Ik Shakhs ko Samjha tha Pholon ki Tarha Hum ne ! Wo Shakhs Qayamat tha ! Kya us ki karen Baatein Din Us ke Liye Peda, Us ke Liye theen Raatein! Kam Milna Sabhi se tha Hum se theen Mulaqaten ! Rang Us ka Shahabi tha! Zulfo'n men theen Mehkaren! Ankhen theen k Jadu tha, Palken theen k Talwaren! Dushman bhi Agar Dekhen, So Jaan se Dil Haren! Kuch Tum se wo Milta tha Baton men Shabahat men! Haan Tum sa hi Dikhta tha Shokhi men Shararat men Lagta bhi Tumhi sa tha, Dastur-e-Muhabbat men! Wo Shakhs Hamen ik din! Gheron ki Tarha bhoola Taron ki tarha Doba, Pholon ki tarha tota! Phir Hath Na Wo aya, Hum ne to Bohat dhunda! Tum kis liye Chonkay ho? Kab Zikr Tumhara hai? Kab Tum se Taqaza hai? Kab Tum se Shikayat hai? Ik Taza Hikayat hai !! Ik Taza Hikayat hai !!

Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.