Aaj halki halki
baarish hai,
aaj sard hawa ka
rakss b hai,
Aaj phool b nikhre hein,
Aaj unn mein tumhara aks b hai,
Aaj badal kalay gehray hain,
Aaj chand pe lakoon bahray hain,
Kuch tukary tumhari yaadon k bari dair say dil mein thehray hain,
Aaj yaadein ulji ulji hain,
Aaj taar yeh dil k suljhay hain,
Aaj yaad bohat tum aayee ho,
Aaj yaad bohat tum aayee ho,
Ajab Pagal Si Larki Hai
Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?
meri post yeh ....

yeh aik rock hai jo sajday ki haalat main hai... is dunia k pather b ALLAH PAK ki zaat ko sajda kerte hain
SUBHAN ALLAH
SACHI HAI MERI DOSTI AAZMAKE DEKHLO
KARKE YAKIN MUJHPE MERE PAAS AAKE DEKHLO
BADALTA NAHI KABHI SONA APNA RANG
JITNI BAAR DIL KARE AAG LAGA KAR DEKHLO
SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE
LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE.
EK SE EK SHARARAT AAPKI,
DIL KHUSH KAR DENE KI AADAT APKI,
HUM RAHE NA RAHE APKE IS JAHAN ME,
YEH DUA HAI KI, SALAMAT RAHE HAMESHA YE MUSKURAHAT AAPKI
Jab b aapki yaad aati hai,
mere honthon pe ye fariyad aati hai,
khuda khush rakhe aapko hr haal me,
kyunke hmari khushi to aaj b aap ki khushi ke baad aati hai....
!! ●════════►═══════════● !!

<object width="425" height="355"><param name="movie" value="http://www.youtube.com/v/CR_Y1s1X3Bs&rel=1"></param><param name="wmode" value="transparent"></param><embed src="http://www.youtube.com/v/CR_Y1s1X3Bs&rel=1" type="application/x-shockwave-flash" wmode="transparent" width="425" height="355"></embed></object>
●════════►═══════════● ●════════►═══════════●

<object width="425" height="355"><param name="movie" value="http://www.youtube.com/v/-6RURpQ4SRo&rel=1"></param><param name="wmode" value="transparent"></param><embed src="http://www.youtube.com/v/-6RURpQ4SRo&rel=1" type="application/x-shockwave-flash" wmode="transparent" width="425" height="355"></embed></object>
!! ●════════►═══════════● !!
Khudkush Dhamake
khudkush dhamake aur Pakistan
aaj kal jagha jagha khudkush dhamake ho rahe hain, pehle agar is tara ki koi khabar tv per sunte to rongte khare ho jate lekin aaj kal yeh is qadar aam si baat lagti hai ke yoon mehsoos hota hai yeh khabar sunne ki aadat ho chuki hai. jab bhi tv lagao yehi khadsha rehta hai ke aaj pata nahi kahan khudkush dhamaka hua ho ga. main is topic per thori si roshni dalna chahti hoon taake aap logon ke bhi zehnon mein yeh baat aa jaye. yeh jitne bhi khudkush dhamake ho rahe hain yeh 2006 mein shuroo hue, is se pehle shayad hi kabhi aisa suna ho, doosre dhamake to phir bhi kaheen na kaheen ho hi jate lekin khudkush dhame nahi hote the, aur yeh 2006 mein kiun shuroo hue yeh main aap ko batana chahoon gi.
Waziristan
Pakistan azad hone se pehle jab Barre Sagheer per angraizoon ki hakoomat thi tab Waziristan wo wahid ilaqa tha jahan angraiz qaabiz nahi ho sake, sara Pakistan Hindustan Bangladesh angraizon ke control main tha lekin jab bhi unhon ne Waziristan ka moun kiya wahan ke logon ne in ko naakon channe chabwa diye aur angraiz moun ki kha kar wapis loat aate aur unhon ne yeh khayal hi dimaghon se nikal diya ke wo wahan par qabza kar sakte hain, us ke baad jab Pakistan azad hua to Quaid-e-Azam ne socha ke yeh itna bara ilaqa hai kion na is ko Pakistan ke sath mila liya jaye, wo khud chal ke wahan gye aur wahan ke sardaron se baat ki, unhon ne ache tareeke se Quaid-e-Azam se baat ki aur Pakistan azad hone ki mubarakbaad de kar kaha ke hum aap ki baat ki qadar karte hain lekin hum aap ke sath shamil nahi ho sakte kionke hamara sadion se apna riwaj aur apna qanoon chalta aa raha hai, agar Pakistan ke sath shamil ho gye to humein bhi us qaanoon par amal karna pare ga jo sare Pakistan mein ho ga, lekin hum yahan par bohot khush hain aur apni zindagi ko islam ke asoolon per chala rahe hain, Quaid-e-Azam ne sochne ke baad un ki baat ki qadar ki aur phir yeh faisla hua ke aap Pakistan mein to shamil ho jayein lekin qaanoon aap apna hi rakhein. aur is tara Waziristan Pakistan ka hissa to ban gya lekin qahan per Qabeela system hi chalta raha aur un ka apna hi qanoon raha aur is tara 60 saal guzer gye kabhi un ko Pakistan se ya kabhi Pakistan ko un se koi shikayat na hui, wo log apni dunia mein khush they, islami qanoon hai wahan, wahan ki sab aurtein parda karti hain sare mard paanch waqt ke namazi hain aur jaraim ki sharah sab se kam hai.
Pakistan Army
ab jab America ne sara Afghanistan tabah kar diya lekin un ko Usama Bin Laden ka koi pata na chal saka to un ko zehnon mein yeh baat aayi ke Usama ko Waziristan ke logon ne pannah di hui hai. Wallah Alam is baat mein kitni sachayi hai. unhon ne Musharaf se baat ki aur wahan karwayi karne ka mutalba kiya, aur bahana yeh banaya ke Waziristan mein koi madrisa hai jahan Usama aur Mulla Umar chote chote bachon ko training de kar dehshat gard bana rahe hain. Musharaf ko chahiye tha ke wo Waziristan ki hakoomat se baat karte aur is baat main kitni sachayi hai yeh jaan\'ne ki koshis karte lekin Musharaf ne bina tafteesh kiya Pakistan Army ko hukam diya ke wahan karwayi ki jaye. Army Waziristan mein ghusna shuroo ho gayi aur wahan jagha jagha apni chokian banana shuroo kar deen. phir ek din Pakistan Army ke helicoptor wahan gye aur unhon ne us Madrisa per bomb phainke jahan Quran ki taleem di jati thi aur wo sara tabbah kar diya, wahan takreeban 120 log shaheed hue jin mein 80 bache bhi shamil the.
Lal Masjid
Lal Masjid ka waqya to aap sab ko hi pata ho ga lekin shayad aap ko yeh nahi pata ho ke asal baat kia thi. wahan har Juma ki namaz mein hazaron log aaye hue hote they aur wahan per Waziristan mein hone wale waqya ke bare mein sach bataya ja raha tha lekin jab Musharaf ko pata chala ke is tara to kaheen Pakistan qom ki soyi hui ghairat jaag na jaye us ne tara tara ke bahane bana kar Masjid mein karwayi ki, Masjid ki behurmari ki gyi, Masjid per firing to kia bomb bhi phainke gye jin mein pata nahi kitne masoom bache bhi shaheed hue, aur Musharaf hakoomat ne jo 2 bahane banaye wo yeh they ke Lal Masjid ke students ghunda gardi karte hain, China se Pakistan ke bohot achi dosti hai, masjid ke students ne chinese ko mara peeta hai aur Aunty Shameem ko mara hai. jab ke asal baat yeh hai ke Aunty Shameem jism faroshi ka dhanda karti thi , jab students ne us ko yeh sab band kerne ko kaha aur us ne inkar kiya to phir us ko mara peeta. aur china walon ne Islamabad mein massage centre khola hua tha jahan per jawan larkian mardon ki massage kiya karti theen, jab Lal Masjid ke ghairat mand students ko is baat ka pata chala to unhon ne wo sab band karne ka kaha aur in ke inkar per un ko mara peeta.
Khudkush dhamake
jab Waziristan main 80 begunah bachon ko bombon se uraya gya to kia un ke rishteydar chup bethe honge ? Lal Masjid mein begunah students jin mein aksariyat bachon ki thi, jab un ko golion se bhoon diya gya to kia un ke ghar wale chup bethe honge ? yeh wohi log hain jo aaj kal Khudkush dhamake kar ke apne ander lagi hui aag ko bhuja rahe hain, har dhamaka Army centre aur Security walon per hi kiun ho raha hai ? kiun ke inhi logon ne Musharaf ke khukam per masoom bachon ko shaheed kiya hai. main manti hoon ke khudkush dhamakon mein begunah log bhi shaheed hote hain lekin wo log karein to kia karein ? kaise bhujayein apne dil ki aag ? kaise bhool jayein wo apne masoom bachon ki laashein ? kia is baat ka jawab hai aap ke paas ?
Main saahil pey likhee hui ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shamma nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chaand bhi nahee
Jo raat ke baad dhal jaye
Main to woh ehsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahay ga magar fana na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN