Educational system Awf PAKISTAN Pak ka aik aur bada masla.. ap kia samjhte hein hamare pak ka educational system kaisa hay ? janta hon ap shayd mujse zyada behtar jante hein.. per hamara yeh pillar bhi din ba din kamzor hota ja raha hay jis se hamare paki students ka mind khokla hota ja raha hay aur base itni kamzor k hum shayd anay walay waqt mein ksi ka samna na ker sakein.. kadwa per sach yahe hay
mein sab students ka nhi keh raha.. bas yahan unka ziker ker raha hon jo thek nhi.. :oops:
saThiyA- 04-21-2008
:P
AMAN.- 04-21-2008
Well Aziii pakistan has a very strong base . I mean their curriculum is way ahead of the study i do here .
Pakistan main abb 2 tabkay hain eik rich aur eik gareeb .. rich jo hain wo cud not be bother to study aur jo poor hain wo cant efford to study . With this mind of setting the future doesnot seem very bright .
Ay[z]o- 04-22-2008
o Hello sathiya yahan genDr war nhi chal rahiii.. aur na he mein yahan is maslay pe bat kerna chahta hon k ladkay kia hein aur ladkyan kiaa.. hein tou pakistani he na ? yahe khoklay demagh ke nishani hay..
n han i agree wid ya amaann.. jab hum do alag alag kashtion mein safar karein ge tou manzil nee tou morh laina hay na
hum pakistani agr acha parh bhi lein na tou pak mein rehna he nhi chahte jab k parhte yahen heinn.. jaise k sathiya ne kaha k yahan ke degree ksi aur country mein value nhi rakhti.. agr dekha jay na tou abroad mein zyada tar specialist paki he hote hein bas woh yahan reh ker pak ko durust nhi kerna chahte sirf apna sochte hein.. n i thnk dis iz da main prob awf pakiZz..
AMAN.- 04-22-2008
Well yaar pakistan main jobs nahi hain aur sab ko apna future dekhna hota hay aur jo and jahan unkay talent ki zadha kadar hogi wo wohi jayain gay na . And yaii yahaan par wakay hi zadha doctors aur foriegners most of them are Pakistanis .
Rabi- 04-23-2008
education system yahan ka aisa hai k jaise mano jis ko jistarhan padhna hai padho....agar koi buhat mehnat kar na chahta hai karo...koi nahi karna chahta na karo...koi paisa kharch kar k padhna chahta hai...karooo.....parents b bachon se nahi pochte k kia chal raha hai aajkal padhai mein...
jahan tak jobs ka taluq hai...sab ko bahar jana hai...pak mein jobs ki kami nahi...koi choti job nahi mangta...bahar wale faida uthate hain aur yahan se padhay likhay bande apna pass bula lete hain achi salary dikha k ...
baqi yahan bachay wohi middle pass log...tou phr woh kia janay padhai ki ehmiat...woh bhi apne bachon ko zyada padhate nahi...
per Allah ka lakh lakh shukar hai k buhat se pak lovers aaj bhi moujud hain....colleges mein buhat achay achay teachers professor mujood hain...aur inshallah umeed ki kiran abhi baqi hai...
Ay[z]o- 04-27-2008
sahe kaha amaan U ne.. sab apna he future dekhte hein aur phr abroad ja ker apnay he mulk ke burayan kerte hein :x
joBs yahan bht hein agr koi kerna chahay touuu.. per aj kal hamari zarooriat he itni ho gaye hein k insan ko na chahte huay bhi achii salary ke zaroorat parhti he hay aur shayd isi liay woh pak chor jate hein..
khair jab tak educational system thek nhi hoga hum paki kuch bhi nhi ker sakte..
Noman- 04-27-2008
hmm agar main sirf Matric aur Inter tak ki baat karoon to Pakistan ki studies kafi hard hain ... Pakistan ka 8th 9th ka student yahan ke inter wale students se behter ho ga ..
lekin ek baat hai ke yahan jo kuch bhi parhate hain wo real life main kaam aata hai .. jab ke Pakistan main kafi kuch aisa hota hai jo hum parh to lete hain lekin kaam nahi aata real life main ...
agar kisi student ne Doctor banna ho to wo 10th tak Maths bhi parhta rahe ga .. jo baad main us ke kisi kaam nahi aati .. is lie skool level se hi agar alag alag fields kar di jayein taake students ko pata chal sake ke wo jo parh rahe hain wo aage kis kaam aaye ga un ko ..
saThiyA- 04-28-2008
^^^^^^^^ True!!!!!!
Ay[z]o- 05-01-2008
hmmm nicee nomiii :P
per is se bada masla yeh hay k yahan koi thek se parhta he nhi yara.. pata hay yahan 9 10 ke papers 100 rs mein milte hein.. tou student kia parhte honge socho ?
Farii- 08-15-2008
Right Ayaz..
Sirf matric ke hi nahin inter ke papers bhi mashAllah se baray araam se out ho jatay hain.. Aur phir result ke liye jis ke paas jitni tagrri source hai wo araam se pass ho jata hai chahay paper mein bus apna naam likh ker aaya ho..
Ay[z]o- 08-16-2008
sab kuch ankho k samnay hota hay per bolnay wala koi bhii nhiii.. aur jahan hukmaran andhay ho jaein na us qoum ka ALLAH he hafiz hay
Noman- 08-16-2008
hmm :?
aisa kahan hota hai ? pata nahi is bare main ..
lekin bohot kam hota ho ga .. khuley aam to nahi ..
werna to sab hi aise karna shuroo ho jayein ..
Farii- 11-26-2008
Khulay aaaaam hi hota hai yaar.. Jis jis ke bus mein hota hai ke wo source ke through apnay marks berhwa sakta hai, wo zaroor berhwata hai.. Aisay logon ka koi deen eimaan thori hota hai :?
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.