teri yaadon se kia nahi seekha
be sabab to na theen teri yaadain
teri yaadon se kia nahi seekha
zabt ka hosla barha laina
aansuon ko keheen chupa laina
kaanpti dolti sadaon ko
chup ki chadar se dhaanp kar rakhna
be sabab bhi kabhi kabhi hansna
mozooye guftugu badal daina
be sabab to nahi teri yaadain
teri yaadon se kia nahi seekha
kiran- 04-29-2008
jab dosti ki dastan waqt sunaye ga
hum koi bi koi yaad aye ga,
tab bhool jayen gein zindagi ke ghar
jab ap ke sath guzra hua waqt yaad aye ga :P
Noman- 05-16-2008
meri zindagi per faqt itna ehsan kar do
ik benam si mohabbat mere naam kar do
ik subha ko milo aur shaam kar do
aur sham take mere ghar ke sare kaam kar do :P
Haya- 05-26-2008
Hijr k azabon se dar lgta ha,
mujhe apne hi khwabon se dar lgta ha,
kal hi tum ne 1 banda mar dia
zalim,
mujhe tumhari jurabon se dar lgta hai :p :p
Noman- 05-26-2008
tauba tauba :P
us shakhs se faqt itna sa ta'luq hai Faraz
wo pareshan ho to mujhe neend nahi aati
Raaj- 05-28-2008
ye kaisa rahe gaa..
Jungle main pehle na thi asi udassi kahi
aye karwa thehar koi saathi bichar gaya.
( kabhi feel hua nomi ase jab main yaah nahi tha )
nahi naa..
K@Nch_ki_gUriyA- 06-05-2008
jaisi bhi hoon achi buri apnay liay hoon
mein khud ko nahin dekhti auron ki nazar say
kanch_ki_pari- 06-30-2008
Hum to dushman ko b pakeeza saza dete hn
Hath uthate nahi nazron se gira dete hn
WafaKaDard- 06-30-2008
bhol jane ka tujhe kasye tasavar kar looon
meri har sanash se wabsta hain yaadain teri
kanch_ki_pari- 07-01-2008
Muhabbat jeet hoti hai
Magar ye haar jati hai
WafaKaDard- 07-01-2008
Gum beeyaan karne ka kohi aur dhank ejaad kar
teri aankhon ka yeh pani to purana hoo gaya
Haya- 07-01-2008
do chaar lafz bol kar main khaamosh ho gaya.
woh muskura ke bole tum bolte bohat ho :p
Sinny- 07-01-2008
Abre-Rhmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye,
Har Lamha Tri Taqdir Sanwarti Nazar Aye,
Bin Mange Tujhe Mil Jae Tu Jo B Chahy,
Khud Dua Tery Hatehon Ko Trasti Nazar Aye
Haya- 07-01-2008
qadam qadam pe mile ik nai khushi tum ko
andheri rakh mein mil jaye roshni tum ko
meri khuda se dua hai keh aye kash lag jaye
meri hayat ke lamho ki taazgi tum ko
Sinny- 07-01-2008
Sada rahey teri yeh ada muskuraney ki
sameit ley tera dil har KHUSHI zamaney ki
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.