dekh ly bulbul-o-parwana ki betabi ko
hijar acha na haseeno ka wisal acha hy
$oni- 03-13-2008
Kbi yaad aaye to puchna zara apni khalwat-e- shaam se,
Kisy ishq tha teri zaat se
kisy pyar tha teray naam se
Zra yaad kr k wo kon tha jo kbi tujhy b aziz tha,
Wo jo jee utha teray naam se
Wo jo mar mita tery naam se
Hme berukhi ka nahi gila k yehi wafaon ka hae sila,
Mgr esa jurm tha konsa gye hum dua-o-salam se
Noman- 03-13-2008
ulfat mein aksar aisa hota hai,
ankhein hasti hai aur dil rota hai,
mante hai hum jinhe manzil apni
humsafar unka koi aur hota hai.
AMAN.- 03-14-2008
Yon lagtaa hai sotey jaagtey ooron ka mohtaaj hon main
Aankhein meri apni hain par Unn mein neend paraai hai
$oni- 03-14-2008
4 u :)
AMAN.- 03-14-2008
aww sweeet ^^^
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta,
Kahin zameen to kahim aasmaan nahin milta.
Jise bhi dekhiye wo APNE AAP MAIN GUM HAI,
zubaan mili hai magar ham zabaan nahin milta.
sweet_man- 03-21-2008
tez hawa ka jhonka aaya,
saath main teri khusbu laaya,
tab meray dil main khayaal aaya,
mera dost aaj bhi nahi nahaya! :33:
AMAN.- 03-25-2008
lolzzz
Seena Dehak raha ho tu kya chup rahay koi
kiun chekh chekh kar na gala cheel ly koi
Sabit hoa sakon e dil o jaan kahin nahin
Rishton main dhondta hy tu dhondha kary koi
Nadeem- 04-01-2008
Na woh inkaar karti hai
Na woh ikraar karti hai
KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
Mere dost se pyaar karti hai.
Aanchal- 04-08-2008
odasi ko bayan kasay karo mai
khamoshi ko zoban kasay karon mai
badalna cahta hon is zammean ko
yi kari aasman kasay karon mai
Noman- 04-10-2008
wo mila to sadiyon k baad bhi meray lub pay koi gila na tha
Usay meri chup nai rula diya jisay guftagu main kamal tha
Aanchal- 04-11-2008
Phir kaya hua yeh raah ki dushwaarion se pooch
Bas itna yad hai teri jaanib chala tha mein......
Noman- 04-11-2008
is se barh kar ishq men zabt ki inteha kya ho gi
Wo mujh se lipat kar roya bhi to kisi aur ke lye
Nadeem- 04-15-2008
jahan dekho ishq ke beemar bethay hain
hazaron mar gaye lakhon tayyar betha hain
Noman- 04-15-2008
Aasman kabhi kabhi jhuka bhi karta hai
Jo hukum deta hai, wo iltejaa bhi karta hai
Tu bewafa hai tou burri khabar bhi sunn
Mera intezaar koi doosra bhi karta hai :P
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.