Mujhay dard-e-ishq ka maza moloom hai,
Mujhay dard-e-dil ki inteha maloom hai,
Mujhay muskuranay ki dua na do,
Mujhay pal bhar muskuranay ki saza maloom hai..
AMAN.- 01-03-2008
najanay kaisi wiraani basi hay apni aankhon main...
koi manzar nigahon ki paziraai nahee karta...
sawariya- 01-03-2008
Woh aaein hamaray ghar mein khuda ki kudrat hai,
Kabhi hum unko aur kabhi hum apnay ghar ko daikhtay hain.
AMAN.- 01-03-2008
najany kon duaoN meiN yaad rakhta hy,
maiN doobta huN, samunder uchaal deta hy....
Seep_Main_Moty- 01-04-2008
KABHI YAAD AAO TO IS TARHA......
k laho ki sari tamaztein
tumhen dhoop dhoop samet dein
tumhein rang rang nikhar dein
tumhein harf harf mein soch lein
KABHI YAAD AOO TO IS TARHA...
k dil-o-nazar mein utar sako
kabhi khul sako shab-e-wasl mein
kabhi khoon-e-dil mein sanwar sako
sar-e-rah guzar jo milo
kabhi na guzar sako na tehar sako
KABHI YAAD AOO TO IS TARHA...
MERA DARD phir sy ghazal banay
kabhi gungunaoo to is tarha
mery zakhm phir sy gulan hun
kabhi muskuraoo to is tarha
meri dharkanein bhi larz uthein
KABHI YAAD AOO TO IS TARHA...........
Anny- 01-05-2008
Ajeeb Haal Main Guzri Hai Zindagi Apni
Dilo Pe Raaj Kiya Aur Pyar Ko Tarse ...!!
Heer- 01-05-2008
Teri yaadoN ke saaye bhi ab to
Dil ke aaNgan se laut jaate haiN
AMAN.- 01-05-2008
Hai wOhi Husan Ki Mehfil wOhi jAlvay wOhi Rang
Kia Kammi Ho Gaii Meray Mar Janay Sey
Palkain- 01-06-2008
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon
Seep_Main_Moty- 01-07-2008
tujhse tu khair ghari baar ki mulaqat rahi
loug sadion ki rafaqat ko bhula daitay hai ..
Palkain- 01-07-2008
ub seena ghum se bojhal ho
aur yaad kisi ki aati ho
tub kamrey main bund ho jana
aur chupkey chupkey roo lena
Ay[z]o- 01-08-2008
Koi Ankhon Se Baat Kar Leta Hai
Koi Ankhon Mein Mulakat Kar Leta Hai
Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena
Jab Koi Khamosh Rehkar Sawaal Kar Leta Hai
Noman- 01-08-2008
aaj utni bachi hai mai khaane mein
jitni chor diya karte the paimane mein
Palkain- 01-08-2008
Tum rooth jao mujse, aisa kabhi na kerna
Main ek nazar ko tarsoon, aiasa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon, so so sawal ker k
Tum kuch jawab na do, aisa kabhi na kerna
Seep_Main_Moty- 01-08-2008
Tujh se judda rehna bhi azaab lagta hai
tere pass rehna bhi khowab lagta hai
har waqt parti hun tere naam ki tasbi
tujhay yaad karna bhi sawab lagta hai.
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.