nazar kaisay nazar se mil k jaan o dil mein ja utri
sunaoon ga yeh afsana mujhe kuch soch lenay do
Maria- 11-06-2007
badhawasi thi ya tujh se milne ki lagan
jahan dastak di wo tera ghar na tha
Heer- 11-06-2007
takdeer se jab poocha lutnay ka sabab kiya hay
hans kar kaha deewanay ye dil ki shararat hay.
Maria- 11-06-2007
mannatein mani thi jis shakhs ko pane ke lie
kitne bechain hain ab us ko bulane ke lie :?
Heer- 11-06-2007
Samjha na koi dil ki baat ko
dard duniya ne bina soche he de diya
seh gaye jo hum dard ko chupke se
to hamko he patthar dil keh diya.. "
Noman- 11-06-2007
wo roz dekhta hai doobte hue sooraj ko Faraz
kaash mein bhi kisi shaam ka manzar hota
Heer- 11-06-2007
Fakat tum hi say kerta hoon main saree raaz ki batein..
hal-e-dil her kisi ko suna ker khuch nahi milta ...
AMAN.- 11-06-2007
Yaad Uski Itni Khoob Nahi Meer Baaz Aa
Naadan Phir Woh Ji Se Bhulaya Na Jayeega
Heer- 11-06-2007
meri ankh kay taron ab na dekh paoo gay
rat kay musafir thay kho gay ujalon may
AMAN.- 11-06-2007
woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
khayaal tha yeh ussay sharamsaar karna hai
Heer- 11-06-2007
barish ko faqat zid thi meri zaat se
junhi mera makan gira abbar chat gaya
Noman- 11-06-2007
jahan ki khilafat mein zulool nahi aaye ga
gham e toheen se qubool nahi aaye ga
maqlool ki ibrat hai yeh qurfa e ghalib
dimagh phat jaye ga magar yeh samaj nahi aye ga
=))
AMAN.- 11-06-2007
Nafs Ko Aanch Par Woh Bhi Umar Bhar Rakhna
Bada Mohaal Hai Hasti Ko Mautbar Rakhna
umar_the_gr8- 11-07-2007
sarsari si aik nazar wo muj pay b daal day
ay Rabb-e-Zuljalal usay itna to khyaal day
itna be kya arooj k baat tak na ho sakay
wo ho sakay mera, usay itna to zawaal day
:P
AMAN.- 11-07-2007
Faraz tark e talluk to khair kia hoga
yehi bohot hai ke kam kam mila karo us sey
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.