View Full Version: Aman's Collection

jandians >>Shayr o Shayri >>Aman's Collection


<< Prev | Next >>

AMAN.- 05-03-2007
Aman's Collection
ajj bheegay moosam nay phir say yaad karaya wo samaan shookhiyun aur mastiyun ka moosam wo lemhe jab hum akhtay hoa kartay thay wo college ki seeriyun par bait kay gantoon eik dosray ko daikhtay rehna laboon ko see kar ankhon say batain karna kehna har baar yai muj say mujay choor na jana apnay dil main rakhna kabhi shooki main akar tumhara mujay tang karna koi baat na hotay howai bhi apnay app muj say rooth jana aur maire galty na hotay howai bhi tumhain maanana ajj beegay moosam nay phir say kaya zulm kiya purani yadon ko ankhon kay samnay ghumaya hay wo tumhara muj say kehna kiyun tum mujay satatay ho raat bhar karwatain badalwatay ho soonay nahi daite tumhare yaadain daikho maire ankhon main sunaty hain yai raat ka fasana aur chalta raha is tarah yai dostana aur phir eik din aise hi bheegi sham the jab us ka fone aya aur milnay ka izhaar kiya us nay na janay kaisa wo lamha tha jab us nay yai kaha muj say akhri mulakat hay hamare main hochuki hon kisi aur ki nahi nabha saki waday apnay mujay maaf kar daina bhool jana mujay aise hi bheegi shaam the jab dhai the qayamat muj par iss bheegi shaam ki tarah bheeg gayen the ankhain maire par nain thay uss kay bhi nam kuch keh na saka main kuch bool na paya bass uss ki ankh say niklay howai moti ko apnay hath ki raikhaon main kahin chupa kar iss ki yaad ko dil main bas tanha chala aya iss soch kay sath kay shayad mukadar main nahi the wafa hamaray yahe tha sila hamree chahat ka hamree muhabbat ka hamare wafaon ka akhir bare mushkil say bhula paya yai sab kuch main socha tha kabhi yaad na karon ga iss pal ko apnay beetay howay kal ko magar ajj iss bheegi shaam nay phir say taza kar diya in zakhmoon ko jo shayad bharnay ki akhre marahal main thay jinhay takreeban bhool chuka tha aur ajj phir say yaad kar kay un lamho ko bheeg gayeen hain ankhain maire teek us shaam ki tarah aise hi bheegi shaam thi wo jab dhai the yai kayamat muj par aisee hi bheegi shaam thee

AMAN.- 05-03-2007

os kay bina ab chup chup sa rehna acha lagta hai.. khamoshi say dard ko sahna acha lagta hai.. jis hasti ki yad main ansuu barastay hain.. samnay oskay kuch na kehna acha lagta hai.. milker os say bicharna jaoon darta rehta hoon.. is leye bas door he rehnaa acha lagta hai.. janta hoon k chahat main bas ansuu he miltay hain.. kuch bhi ho abb iss zahar ko peena acha lagta hai.. jee chahay sab khushyaan laiker os ko day doon.. oskay pyar main sab kuch khonaa acha lagta hai.. oska milnaa na milnaa kismat ki baat hai.. pal pal oski yaad main rona acha lagta hai.. os kay bina sab khushyaan ajeeb si lagti hain.. ro ro ker os ki yaad main sonaaa acha lagta hai...

Noman- 05-03-2007

nice .. keep sharing

Sabi- 05-04-2007

nice post :)

AMAN.- 05-06-2007

Thnx Nomi bhai and Sabi ji !

AMAN.- 05-06-2007

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai Kya karein k Hamein Dusrey ki Adat hai Tuu apne Sheesha-Gari ka na ker Hunar Zaya Mai Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai Wisaal mai b wohi Faasley Sarab k hain Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jage ki Adat hai Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi!! Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai Ye Khood-Aziyati kab tak "FARAZ" Tu b use na ker Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai

AMAN.- 06-03-2007

chalo kuch dair intezaar karein shayed kai us kai dil sey bad gumani ki barf pighal jaye shayed kai us ki ana ka sooraj aik din dhal jaye shayed kai woh kuch ham sey milney ko machal jaye chalo kuch dair intezar karein ho skata hai woh ana ki deewar gira daley ho sakta hai woh aihd-e-dosti nibha daley ho sakta hai woh hamein aakhree bar bula daley chalo kuch dair intezar karein mumkin hai apni qismat main bhi koi kamal ho jaye us ka dil bhi hamaree tarah dard sey be haal ho jaye khushiyoun ki aarzoo main dard sey nidhaal ho jaye chalo kuch dair intezar karein muqadar ki tareek ratoun kai janey ka us bichrey dost kai lout aaney ka us ko bhi khayal aaye hamein mananey ka chalo kuch dair intezar karein kuch dair aur khud ko be qarar karein chalo tumharey liye shikast ka iqraar karein chalo kai phir tajdeed-e-dosti aik baar karein chalo kuch dair intezar karein

AMAN.- 06-03-2007

Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho Mujhay Talash Hay Us Ki Jo Mere Jaisa Ho Mere Khuloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hai Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi Ho Jo Khuwab Deney Ko Taiyar Ho Meri Aankhon Ko Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakey Woh Aisa Ho Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To Muskura K Manaye, Woh Aisa Ho Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey Iradon Mey Woh Apne Chahaton Jaisa Ho Dukhon Mey Hansney Ka Kamal Janta Ho Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho Us K Pyar Ke Thandak Ho Mere Liye Aisi K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Mey Haya Rakhta Ho Umar Bhar Saath Chale Woh Aisa Hooo... Mujhay Talash Hai Us Ki Jo Mere Jaisa ho.

AMAN.- 06-03-2007

Shaamme Ghazal Ki Lau Ban Jaaye Aisa Misra Ho To Kaho Ek Ek Harf Mein Soz Ki Khushboun Dil Ka Ujaala Ho To Kaho Raaz-e-Muhabbat Kehne Wale Log To Lakhhon Milte Hain Raaz-e-Muhabbat Rakhhne Wala Hamsa Dekhha Ho To Kaho Kaun Gawaahi Dega Uthh Kar Jhuton Ki Iss Basti Mein Sach Ki Qeemat De Sakne Ka Tum Mein Yaara Ho To Kaho Waise To Harr Shaqs Ke Dil Mein Ek Kahani Hoti Ha Hijr Ka Lava Gham Ka Saleeka Gard Ka Lehjaa Ho To Kaho "Amjad" Sahab Aapne Bhi To Duniya Ghoumke Dekhi Hain Aisi Aankhein Hain To Baataaon Aisa Chehra Ho To Kaho

Sabi- 06-07-2007

v v nice poetry dear ... :) keep it up :) Jab dukh ki nadiya main hum nay Jewan ki naoo dali thi Tha kitna kas bal banhoo main Lahoo main kitni lali thi Yun lagta tha do hath lagay Aur naoo poram par lagi Aisa na hoa….. Her dharay main Kuch undekhi majhdarain thee Kuch manjhi thay unjan bhut Kuch bayparkhi patwarain thee Ab jo bhi chahoo chahan karo Ab jitney chahoo dosh dharoo Nadiya to wohi hay naoo wohi Ab tum he kaho kiya karna hay Ab kaisay par utarna hay…………….. Tha waedoo per wishwas bhut Aur yad bhut say nuskhay thay Yun lagta tha kuch din main Sari bepta kat jay ge Aur sab ghaoo bhar jain gay Aisa na hoa….. Roog apnay… Kuch itnay dhair puranay thay Waeed un ki tooh ko na pa sakay Aur tootkay sab baykar gay ……….. Ab jo chahoo chahan karoo Ab jo chahoo dosh dharoo …. Ab tum he kahoo kiya karna hay Ye ghaoo kaisay bharna hay

Noman- 06-07-2007

Har nazar ko ek nigaah ka hak hai Har rooh ko ek aah ka hak hai Hum bhi dil lekar aaye hai is duniya mein Hamein bhi ek gunaah ka hak hai

Noman- 06-07-2007

Kagaz pe humne zindagi likh di, ashkon se seench har khushi likh di, dard jab humne ubhara lafzo pe, logo ne kaha wah kya gazal likh di

Noman- 06-07-2007

bana bana ke tamana mitayi jati hai tarah tarah se wafa azmayi jati hai jub un ko meri mohabat ka aetbaar nhin toh jhooka jhooka ke nazar kyun milayi jati hai

AMAN.- 06-09-2007

Very nice Sabi ji and Noman bhai ... tfs ! and thanx Sabi ji ... cheers !

AMAN.- 06-09-2007

Woh Apnay Ishq May Kaisa Kamaal Rakhta Hai Ke Be-Rukhi May Bhi , Mera Khayaal Rakhta Hai Jo Aaj Mera Nahien Hai Woh Kal Mera Ho Gaa Kay Har Zamaana Uroj-o-Zawaal Rakhta Hai Ajab Nahi Woh Jahaa Bhar Ko Bewafa Samjhe Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai Kaha Talak Koi Dast-e-Karam Ko Zehmat Dey Tamaam Shaher Hi Dast-e-Sawaal Rakhta Hai Meri Uraan Ke Aagay Hai Kis Qadar Bey-Bas Yeh Aasmaan Jo Sitaaroon Ka Jaal Rakhta Hai Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai Warnaa Jahaan Mein Koun Kisi Ka Khayaal Rakhta Hai

Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.