View Full Version: Aman's Collection

jandians >>Shayr o Shayri >>Aman's Collection


<< Prev | Next >>

AMAN.- 01-08-2008

dono jahan teri mohabbat mai.n haar k wo jaa rahaa hay koi shab-e-ghum guzaar k veeraa.n hay maikadah Khum-o-saagar udaas hay tum kyaa gaye ke roth gaye din bahaar k ik fursat-e-gunaah milii, wo bhii chaar din dekhe hai.n hum ney hosaley Parvar-digaar k duniyaa ne teri yaad se begaanaa kar diyaa tujh se bhi dil faraib hai.n ghum rozagaar k bhole sey muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz' mat pochh val-vale dil-e-naa-kardaakaar k

AMAN.- 01-08-2008

Shehar e Dil ki GaliyOn mein Shaam se Bhataktay hain Chaand k tAmAnAii Be-Qarar SoDaii Dil Gudaz tAReeki jAan gUdaz tAnhAii Rooh o jAan ko DaSti hAi Rooh o jAan mein BaSti hAi Shehar e Dil ki GaliyOn mein Taak e Shab ki BailOn per ShabNamien Sar ShkOon ki Be-Qarar lOgon ney Be-Shumar lOgon ney yAadGar chOri hAi itni bAat thOri hAi Sad Hazar Batien thien Hiblaa'e Shkeebaii SooRaton ki Ze-Baii QaMaton ki Ra'naii In Syaah RatOn mein Eik bhe na yAad Aai Ja Baja BhatAktay hAin Kis ki Raah tAktay hAin Chand k tAmAnAii Ye Nagar Kabhe Pehlay iS Qadar na Tha VeRaan Kehnay Walay Kehtay hAin Qarya e NiGaraan tha Khair Apnay jEenay ka Ye Bhe eik Shara tha Aaj Dil mein VeRaani Abar Ban k Ghir Aaii Aaj Dil ko kia Kahye Ba-Waffa na HarjAii Phir bhe lOg Dewanay Aa Gaye hAin Samghanay Apni WehShat e Dil k Bun leye hAin AfSanay KhuSh khyal dUnya ney Garmiyan to jAti hAin Wo rUtien bhe Aati hAin jAb MalOol Raton mein DoSton ki Baton mein Jee na Chain Paye ga Or dOob jAye ga AahatOn Se gOnjay gii Shehar e Dil ki tAnhAii Or Chaand RatOn mein Chandni k Shaidaii Har Bhanay Niklien gey Aazmanay Niklien gey AarZoo ki Geeraii dhOndnay ko RuSwaii Sard Sard Raaton Mein Zard Chand BakhShay ga Be-HiSsab tAnhAii Be-HijAab tAnhAii Shehar e Dil ki GaliyOn mein

Palkain- 01-08-2008

ujhe Ruswa nehi karna Suno aisa nehi karna----Main pehle bhi akeli hoon Mujhe tanha nehi karna Jhudai a bh jay to----Yeh Dil chorta nehi karna Bohat masroof ho jana----Mujhe socha nehi karna Bharoosa bhi zroori hai----Maghar sab ka nehi karna Muqader to Muqadar hai----Kabhi shikwa nehi karna Meri takmeel Tumse hai----Mujhe Adhura nehi karna Suno aisa nehi karna

AMAN.- 01-12-2008

Thanks for sharing siso bohat ache hay !

AMAN.- 01-12-2008

Chaand Bhi khOya KhOya Sa hAi Taaray Bhi Khwaabeeda hAin Aaj Fiza Kay bOjhal Pan Say Lehjay Bhi Sanjeeda hAin JAnay Kitnay lOgon Say Is Dil Kay Kya Kya Rishtay Thay Hijr Kii Is Aabaad Sarra Mein Sab Chehray Na-Deeda hAin Itnay BarsOn Baad Bhi dOno Kaisay tOot Kay Miltay hAin tOo hAi Kitna Saada Dil Aur hUm Kitnay Paicheeda hAin Suno jAana hUm Tarq e Ta'aluq Aur Kisi Din Kar Lien Gey Aaj tUjhey Bhi Kuch Ujlat Sii hAi Aur hUm Bhi Kuch Ranjeeda hAin Ghar Kii wO MakhdOsh Imarat Gir Kay Phir Tameer hOii Ab Aangan Mein Pair hAin Jitnay Sab Shakh Bareeda hAin Is Bastii Mein Eik Sarak hAi Jis Say hUm Ko Nafrat hAi Us Kay NeeChay Pag-dandii hAi Jis Kay hUm Garweeda hAin

Heer- 01-12-2008

kool lil bro

Ay[z]o- 01-14-2008

nice collection bRo :D

kiran- 01-18-2008

osy ne bass itna kaha mein ne socha kuch nahi mein wahi pathrha gai mein ne socha kuch nahi kon hai kesa hai wo, muj ko isy se kia garaz wo muje acha laga mein ne socha kuch nahi mein bi to insan ta ek hami reh gai mein ne jis ko dil dia mein ne socha kuch nahi osy ki haratir sochna bi raat din phir bi muje laga mein ne socha kuch nahi usy se kaha mein ne kia kaha yeh tu hai ek waqaya yeh bi hai ik waqaya mein ne socha kuch nahi dosti,dushmani ek had per kuch nahi ajanabi ta ashna, mein ne socha kuch nahi nafrateen ti 'SAAD' cahaton ke darmean cahaton mein kia hua mein ne socha kuch nahi !!

AMAN.- 01-22-2008

Goood sharing ^^^

Ay[z]o- 01-23-2008

NICE collectioN Amaan.. :)

Seep_Main_Moty- 01-24-2008

na satao humay k hum doniya k satai hovay hai teri juddai ka ghum bhi uthai hovay hai . Khilona samajh k hum se tu na khailo hum bhi tu usi khuda k banai hovay hai .

AMAN.- 02-05-2008

Thanks everyone !!

AMAN.- 02-05-2008

baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

AMAN.- 02-05-2008

dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaastaa ko_ii tuune to hamase aaj tak ko_ii gilaa nahii.n kiyaa tuu bhii kisii ke baab me.n ahad-shikan ho Gaaliban mai.n ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahii.n kiyaa jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do aap bahot shariif hai.n aap ne kyaa nahii.n kiyaa jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii.n kiyaa

AMAN.- 02-05-2008

Khaamoshii kah rahii hai kaan me.n kyaa aa rahaa hai mere gumaan me.n kyaa ab mujhe ko_ii Tokataa bhii nahii.n yahii hotaa hai khaanadaan me.n kyaa bolate kyo.n nahii.n mere haq me.n aabale par gaye zubaan me.n kyaa merii har baat be-asar hi rahii nuqs hai kuchh mere bayaan me.n kyaa vo mile to ye puuchhanaa hai mujhe abhii huu.N mai.n terii amaan me.n kyaa shaam hii se dukaan-e-diid hai ba.nd nahii.n nukasaan tak dukaan me.n kyaa yuu.n jo takataa hai aasamaan ko tuu ko_ii rahataa hai aasamaan me.n kyaa ye mujhe chain kyuu.N nahii.n pa.Dataa ik hii shaKhs thaa jahaan me.n kyaa

Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.