Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo
Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo
Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaro
Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo
Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo
Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo
Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo
AMAN.- 04-23-2008
Great sharings Noman bhaiiiii , Many thanks !!
AMAN.- 04-23-2008
Main.......Roi To Nahin Hoon!
Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Aksar Phail Jata Hai
Main Roi To Nahi Hoon......
Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahi Hoon......
Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahi Hoon......
Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahi Hoon......
Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Mai Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....
Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon...
AMAN.- 04-23-2008
sochta hon kia likhoon?
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?
Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?
Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon
AMAN.- 04-23-2008
Koi to Hota
Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?
Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?
AMAN.- 04-23-2008
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.....
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya
AMAN.- 04-23-2008
Kal raat janay kya hua...
Kuch der pehlay neend say,
Kuch Ashq milnay aagaye...
Kuch khwaab bhi tootay huye,
Kuch log bhi roothay huye,
Kuch raasta bhatki hui,
Kuch gard mein lipti hui,
Kuch Be-tarha pheli hui,
Kuch khol mein simti hui,
Be-rabt si sochein kayee...
Bhooli hui batein kayee...
Aik shaks ki yaadein kayee...
Phir dair tak jaagi rahi,
Sochon mein Gum bethi rahi,
Ungli say thunday Farsh par...
Ek naam hi likhti rahi,
Kal raat bhi woh raat thi...
Kuch Dair pehlay neend say,
MEIN DAIR TAK ROTI RAHI....
AMAN.- 04-23-2008
MUJHAY TUM YAAD KARTAY HO!!!!!!
Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chaath pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?
AMAN.- 05-16-2008
Ab kay safar main, tishna-labi main kia batla’ain kya kya dekha
Sehra’on ki pyas bujhaatay darya’on ko pyaasa dekha
Shayad wo bhi sard ruton kay chand si qismat laya ho ga
Sheher ki bheer main aksar jis ko hum nay tanha tanha dekha
Chara-garon ki qaid say chootay, tabeerain sub raakh hueen
Ab kay dil main dard wo utra, ab kay khwab hi aisa dekha
Dard ka tajir baant raha tha galiyon main majrooh tabassum
Dil ki choat koi kia janay, zakhm ko aankh main gehra dekha
Jis kay liye badnaam huay hum, aap to us say mil ker aaye
Aap nay us ko kaisa paya, aap nay us ko kaisa dekha
Kaisa shakhs tha zard ruton ki bheer main jub bhi saamnay aaya
Us ko dhoop sa khilta paya, us ko phool sa khilta dekha
Abr ki chadar taan kay jheel main saaton rang rachanay utra
Moaj-e-aab ki teh main janay chand nay kis ka chehra dekha
Teray baad hamaray haal ki her rut aap gawahi day gee
Her mausam main apni aank main aik hi dard ka saya dekha
Mohsin band kiwaar kay peechay chhup rahi hai sehmi shum’ain
Jesay umr kay baad hawa nay meray ghar ka rasta dekha
Noman- 05-25-2008
Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna
Kabhi Milay To Ye Baat Usay Kehna
Woh Sath Tha To Zamana Tha Hamsafr Mera
Magar Ab Koi Nahi Mery Sath Usy Kehna
Usay Kehna Bin Usky Din Nahi Katta
Sisik Sisikk Katti Hai Raat Usy Kehna
Usay Pukaron K Khud Hi Pohanch Jaon Usky Pass
Nahi Rahay Wo Halaat Usay Kehna
Agar Wo Phir Bhi Na Lotay To Ay Mehrban Qasid
Hamari Zeest K Halaat Usay Kehna
Her Jeet Us K Naam Kar Raha Hoon Main
Main Manta Hoon Apni Haar Usay Kehna....!
Noman- 05-25-2008
Na jane kiya hum ne aisi khata kar di..
unhon ne to tanhai humari saza kardi.
ek dil se darkan juda kar kardi
kiya kiya na kiya us ke liye phir bhi unhon ne judai ata kar di
aey be wafa tere har sitam ke bawajud
humne apne sabar ki inteha kar di
umr bhar na karen ge teri be rukhi ka shikwa
zindagi phir bhi be wafa tere naam kar di.
Noman- 05-25-2008
Aaj phir wo gharri yaad ayi
Aaj phir wo lamha yaad aya
Jab tum ne kuch waade kiye thay
Jab tum ne apnany ko kaha tha
!! HAAN !!
Mager aaj main keh raha houn
Wo waqat phir aa sakta ha
Wo lamha phir aa sakta ha
Main is ki ijazat deta houn
Hum phir hum khayal ho sakty hain
Hum phir jeenay maarny ki Qasamain Kha sakty hain
Hm phir kuch Waade kar sakty hain
Tum phir koi khowaab dekha sakti ho
Main phir koi khowaab dekh sakta houn
Phir main, Wafa ka waada kar sakta houn
Main phir ek baar Mitne k liye
Tayyar ho jaoo ga
!!MAGER HAAN!!
Bas mujhay is baat ki ijazaat do
!! K !!
Is baar Dhooka meri teraf se ho ga.. :P
K@Nch_ki_gUriyA- 05-28-2008
Her Koi Dil Ki Hatheli Pey hAi Sehra Rakhey
Kis KO Sairaab Karay Wo Kis Ko piyasa Rakhey
Umer Bher Kon Nibhata Hay Ta'aluQ Itna
Aay Meri Jaan K Dushman Tujhay Aallah Rakhey
Hum Ko Achcha Nahe Lagta Koi Hum Naam Tera
Koi Tujh Sa Ho To Phir Naam Bhe Tujh Sa Rakhey
Dil Bhe Pagal Hai k Us Shaks Sey Vabasta Hai
Jo Kisi Or Ka Honay Dey Na Apna Rakhey
Ye Qanaat Hay,Aataaet Hay,K Chahat Hay Faraaz
Hum To Razi Hain Wo Jis Haal Main Ho Jaysa Rakhy
*xxJd's Nottyxx*- 06-04-2008
nicee sharing
tfs and keep sharing
AMAN.- 06-04-2008
Ty ^^
Fariha Nigarina
tum ney mujh ko likha hai
Mere khat jala dijiye
Mujh ko fikr rehti hai
aap inhain ganwa dijiye
Aap ka koi saathi dekh ley to kiya hoga?
dekhiye mein kehti hun Yeh bohat bura hoga
Mein bhi kuch kahun tum se
Fariha Nigarina
Ay Ba'nazuki meena
itr bey naseena
rashk'e sar be seena
Mein tumharay har khat ko LOH'E DIl samajhta hun
LOH'e Dil Jala dun kia?
Jo bhi satr hai in ki
Kehkasha' hai rishton ki
Kehkasha'n luta dun kia?
Hai sawaad'e beenai inka jo bhi nukta hai
Mein usay gunwa dun kia?
jo bhi harf hai inka
naqsh'e jaa'n hai jaanana
naqsh'e jaa'n mita dun kia??
LOh'e dil jala dun kia?
kahkasha'n luta dun kia?
Naqsh'e jaa'n mita dun kia??
Mujh ko likh k khat janum
apnay dehaan mein shayd
khuwaab khuwaab jazbon k
khuwaab khuwaab lamhon mein
younhi bey khayalana jurm kar gai ho tum
aur khayal aany par US Se dar gai ho tum
JURM k tassawur mein gar yeh KHAT likhay TUM NEY
phir to meri raaiy mein JURM hi kiye tum ney
jurm! kiun kiye jayein?
jurm! kiun kiye jayein?
khat hi kiun likhey jayein...!
Forumer™ is Voted #1 Free Forum Hosting provider
Build your own community today with the largest message board hosting company.